Thursday, 9 September 2010

Ghazal SMS 58


expr:addthis:title='data:post.title'
expr:addthis:url='data:post.url'>href='http://www.addthis.com/bookmark.php?
v=250&username=muhu88' class='addthis_button_compact'>Share

|














1





Naksh yadon k mitati hai to ro parti hai,

Wo merey khat jo jalati hai to ro parti hai,



Wo kai pehr jo soti thi mere seeny par,

Rat aankhon mai bitati hai to ro parti hay,



Log puchain jo kabi gehri udasi ka sabab,

Bat logon se chupati hai to ro parti hy,



Yun hi baithay huay yadon ki kitabon se kabi,

Waqt ki dhul urati hai to ro parti hai,



Yad karti hai mujhay toot k us lamhay wo,

SHAM chehra jo dekhati hai to ro parti hay,



Wo barray zabt barray hoslay wali larki,

Gham ko tehreer banati hai to ro parti hai.



Mai ne jo phool usay pyar se bejhay thay kbhi,

Un ko balon mai sajati hai to ro parti hay.









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


2





Tarap rahi hai har Ek tamanna,Na Us se milte,Na aisa hota.

Bujhi bujhi si hai dil ki duniya,Na Us se milteNa aisa hota.



Hum aisi mehfil mein kaise jain,Jahan k manzar hamein jalain.

Agar hai jalna Jalein ge tanha.Na Us se milte,Na aisa hota.



Na chain aaye, Na mout aaye,Na jee rahe hain,Na mar rahe hain.

Kahan tha pehle ye haal Apna.Na Us se milte,Na aisa hota.









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


3





"Tum Kia Jano?"

Kabhi daman kabhi palkain bhighona KIS ko kehte hain:,?

Kisi mazloom se p��cho k "RONA" kis ko kehte hain:



Kabhi meri jaga khud ko rakho phir "JAAN" jao g�:

K duny� bhar k dukh dil main "SAMONA" kis ko kehte hain:



Meri ankhon mere chehry ko ik din "GHOAR" se dekho:

Magar m�t Pochna "WEERAAN" hona kis ko kehte hain:



Tumhara dil kabhi pighle agar "GHAM" ki hararat se:

Tumhain malum ho jaye ga "KHONA" kis ko kehte hain:-









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


4





Itna To Mere Haal Par Ehsaan Kia Kar

Ankho Se Mera Dard Pehchan Liya Kar



Koi Sath De Safar Me Bahut Thak Gaya Hoon

Main Kuch Pal Hon Tere Sath Meri Maan Liya Kar



Afsane Mohabat K Adhure kabhi Na Chhor

Har Jurm-E-Wafa Ka Mujh Se Bayaan Liya Kar



Muddat Hui Is Aas Par Thehray Howe Hain hum

Bhoolay Se hi Kabhi Tu Bhi Mera Naam Liya Kar



Tu Apni Zaat Se Wabasta Kar Mujhe {~MOHSIN~}

Ho Kar Khafa yon Mujh Se Na Meri Jaan Liya Kar..









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


5





Chiragh dasht k zinda jala gaye MUJH ko,

Ye dard shaam k lamhoon main kha gaye MUJH ko,



HUMAIN to phool ki khushbu pe neend aati thi,

Na jane WO khaak pe kaise sula gaye MUJH ko,



Yahan to waqt ki ankhoon se khoon tapakta hai,

Ye maizbaan kahan par bitha gaye MUJH ko,



TERE hejaab ko cho kar hawain aati hain,

Yehi khayal to pathar bana gaye MUJH ko



HUMARY zabt ki dunia missal deti thi 'AZAD'

Nikal k ankh se ansu rula gaye MUJH ko









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


6





Jurme ulfat men log hamen saza dete hen

Kitne nadan hen sholon ko hawa dete hen



Kaise mumkin he dil b jale aur duhwan na ho

Chot parti he to pathar b sada dete he



Naap se to guzra he waqat do ghari ka

Log to sadion ki muhabbat ko bhula dete hen



Bas jahan b raho sada khush raho

Is aakhri mulaqat men yahi "DUA"dete hen



Kon yad rakhta he kisi ko bichar jane k bad

Ghar ki dehleez chorte hi apne b bhula dete hain..!!









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


7





Ek soona sa chand mere fasanay mein reh Gaya,

Main doosron ki shamain jalane mein reh Gaya,



Wo aa k mere Gaon se wapis b ja chuka,

Main tha k apnay Ghar ko Sajanay mein reh Gaya,



Wapis hua to Ghr mera Sholon ki zad main tha,

Main mandron k deep jalanay mein reh Gaya,



Har Pal faraib khaye aur muskra diya,

Ye rawaj sirf mere Ghrane mein reh Gaya,



Dunya se saari umr taruf na ho saka,

Ab tak main khud ko khud se milanay mein reh Gaya









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


8





Jis tarha seena'e sehra pe ho darya jata...

Raqs karta dil'e wehshi kabhi gaata jata!



Maatm'e ishq pe mamoor huey deeda o dil,

Mosm-e-sang-e-mulamat nhe jhela jata.



Rat ati hy to lgta hy k jaa� jati hy

Chashm-e-brbad se ik pal nhe soya jata.



Ab hmen mosm-e-jaan khud mn mgn rkhta hy...

Yad mn teri bahot din nhe roya jata.



Tm kahan se koi tabeer chura lao ge?

Tmse to khawb'e dricha nhe khola jata!



Wehshat-e-ishq men koi to ziaa� hona tha!

Apni ankhen jo bcha lety to chehra jata.









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


9





Bujhay Bujhay Se Ajeeb Din Hain,Khawab Koi na "KHAYAL"Koi,

Na Manzaron Me Koi Kashish Hai,Na Mosmon Me"JAMAAL"Koi,



Hum Aik Doojay Ko Apni Apni,Adhoori Ankhon Se Daikhtay Hain,

Hmari Barson Ki Chahton Py,Utr Raha Hai "ZAWAAL" Koi,



Jo Hansna Chahain To Ashk Niklain,Jo Rona Chahain To Hanstay Jain,

Hmaray Jazbaat Girvi Rakh Kr,Bna Raha Hai"MISAAL"Koe.









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


10





Bohut farsoda lagty hen mjhy ab yaar k qisay

Gul-o-gulzar ki batain lab-o-rukhsar k qisay



Yahan sb k muqdar mein faqat zakham-e-judai ha

Sbhi jhoty fasany hain wisal-e-yar k qisay



Bhala ishq-o-mohbat sy ksi ka pait bharta ha?

Suno tm ko sunata hun mein karobar k qisay



Mry ahbab kehty hn yahi ek aeib hy mujh mein

Sar-e-dewar likhta hun pas-se-dewar k qisay



Mein aksar is lye logoon se ja kr khud nahi milta

Wohi be-kar ki batein,wohi be-kar k qisay









color="#6a98a5">Submitted By Muneer









<<First
   

<Previous
   

51  
52  
53  
54  
55  
56  
57  
58  
59  
60  



No comments:

Post a Comment