Urdu Poetry and Shayari. Most updated Urdu Poetry website on the web with hundreds of poetry categories on lots of topics. Find Urdu Poetry Ghazals by famous Pakistani and Indian poets. Get the Urdu shayari largest collection by categories like love shairy, sad shayari and others.
Thursday, 9 September 2010
Ghazal SMS 52
expr:addthis:title='data:post.title'
expr:addthis:url='data:post.url'>href='http://www.addthis.com/bookmark.php?
v=250&username=muhu88' class='addthis_button_compact'>Share
|
src="http://s7.addthis.com/js/250/addthis_widget.js#username=muhu88
">
1
Sakht Mushkil me hy ye Jan Koi Kya Jane
Dil ki Dunya hoi Viran Koi Kya Jane
Zuban se Uski Khud ko Bewafa Sun K
Gir Para Mujh pe Aasman Koi Kya Jane
Ehad Us ka tha Mohabat me Sath Marne ka
Kese Badla Us ka Iman Koi Kya Jane
Dhondti Rehti hen Us ko hi Nigahe Meri
Kion hen Aankhe ye Pareshan Koi Kya Jane
color="#6a98a5">Submitted By Muneer |
2
Ujray hue logon se gurezan na hua kar,
Haalat ki qabron k kutbay bhi parha kar.
Hr roz ka hansna tujhe barbad na kar de,
Tanhai k lamhon mein kbhi ro b lia kar.
Pehla sa kahan ab meri reftar ka aalam!
Ae gardish-e-douran zara tham k chala kar.
Us shaks k tum se b marasim hi to hon gy!
Wo jhoot na bolega mere samney aa kar.
Is shab k muqadar mein saher hi nahi "QeSaR"!
Dekha hai kai bar cheraghon ko bujha kr.....'
color="#6a98a5">Submitted By Muneer |
3
Tere hone par bhi khud ko tanha smjhun?
Me bewafa hu ya tujh ko bewafa samjhun?
Teri berukhi se waqt to guzar gya hai mera,
Ye khuddari hai ya teri anna samjhun?
Tere baad kya hal hona hy mera,
Ye teri anayet hai ya kaza samjhun?
Zakhm dete ho or marham bhi lagate ho,
Wasi ye teri aadat hai ya adda samjhun?
color="#6a98a5">Submitted By Muneer |
4
Hina Ka Rang Hoon Main Hathon Pe To Aaonga ,,,
Utar gaya To Mehak Apni Chor Jaonga ,,,
Gazal Ka Shair Hoon Dil ki Kitaab Mein Likh Lo ,,,
Bhula Diya To Kabi Yaad B Na Aaonga ,,,
Tera Hi Ashk-E- Tamana Hoon Rok Lo Mujh Ko ,,,
Main Aik Din Teri Palkon Pe Jag-magaonga ,,,
Khuloos-E-Dil Se Sada Di Agar Kisi Ne Mujhe ,,,
Gaye bahar ki trah Phir lowt Aaonga ,,,
Dilon ka dard agr koi na smjha "MOHSIN" ,,,
To phir pathron k Zmany main chala jaonga....!!!
color="#6a98a5">Submitted By Muneer |
5
Mere Hathoun mein apne Naam ki lakeer Dekhna
Meri Ankhoun me apne Husn ki Tasveer Dekhna
Kya they or kya Bna dia teri ulfat ne
Kese Ban gae hein tere piyar mein diwane Dekhna
Boht Naaz hy Na tujhe apni husn ki Dolat per
Dost Mere paas Bhi hy Zakhmon ki Jageer Dekhna
Mere Ho Or Mere Hi Reho ge Hmesha
Rang Laaye Gi Sachey Piyar ki Taseer Dekhna
Bohat zulm sahey hein teri Judai k Hum ney
Sada Ek Jesi Nhi Rehti Taqdeer Dekhna.
color="#6a98a5">Submitted By Muneer |
6
Meri har ek ada mein chupi thi us ke mohabt...
Usne mehsoos na kia ye or baat hay,
Main nay her dam us k he khawab dekhay,
Mujhay tabeer na mili ye or baat hay,
Main nay jab b us say baat karna chahi,
Mujhay alfaaz na milay ye or baat hay,
Main us ke mohabat k samandar mein bahut door tak nikla,
Mujhay saahil na mila ye or baat hay,
Qudrat nay lika tha us ko meri taqdeer main,
Us ki qismat mein me na tha ye aur baat hay.
color="#6a98a5">Submitted By Muneer |
7
"Akele jo dukh uthate ho ye tum acha nahi karte,
"Hmara dil jlate ho ye tum acha nahi karte,
"kaha bhi tha mohabat hy mohbt hi esy rakho,
"Tamasha jo banate ho ye tm acha nahi karte,
"Uthate ho falak tk tm hmen sr_e_mehfil magar,
"Utha kar jo girate ho ye tum acha nahi karte,
"koi jo puch le tm se k Rishta kya hy ab unse,
"To nazro ko jhukaty ho ye tm acha nahi karte,
"Bikher jayen andhero me sahara tum to dete ho,
"Magar phir chhor jate ho ye tum acha nahi karte.
color="#6a98a5">Submitted By Muneer |
8
Kabih zid Mein Tere Ho Gaye,Kabi Dill Ne Tuje Ganwa Diya,
Isi Kashmakash Mein Rahe Sada,Tu Ne Yaad Rakha Ya Bhula Diya,
Kabi Bebasi Mein Hans Diye,Kabi Hansi Ne Hum Ko Rula Diya,
Kabi Phool Se Rahi Dosti, Kabi Haath Kanton Se Mila Liya,
Kabi Ek Ko Apna Na Kar Sakey,Kabi Khud Ko Sab Ka Bana Diya,
Yun Hi Din Guzar Gaye Piyar K,Apna waqt hm ne ganwa dya... :-(
color="#6a98a5">Submitted By Muneer |
9
Hum Kabhi Jo Shehr-e Muhabt Basanay Lag Jaein..
Kabhi Tufan Kabhi Zalzalay Aanay Lag Jaein..
Kabhi Ik Lamha jo Fursat Muyasir Aa jaye,
Meri Sochen Mujhe Sooli pe charhanay Lag jaein..
Intzar Uska Itna Bhi Ziyada Kia Karna?
Kia Khabar Baraf Pighalnay Me Bhi Zamane Lag Jaein..
Aankh Utha kar Bhi Na Dekhen tujhe Din me Hum
Log Shab Ko kagaz pe Tera Chehra Bananay Lag jaein..
Wo Humen Bho0lna Chahen Bhula Den Pal Main
Hm Unhen Bho0lna chahen to Zamaney Lag Jaen
color="#6a98a5">Submitted By Muneer |
10
"Bohat khamosh reh kar jo sazae'n mujh ko deta tha"
"Bare khamosh lehje mein sadae'n mujh ko deta tha"
"Kabhi jo dard ki aatish mujhy sulgaanay lgti thi"
"Wo apni saans ki mehki hawae'n mujh ko deta tha"
"Usay mein ajnabi samjha magar har mor par 'MOHSIN'
"Wo Apne naam ki saari duae'n mujh ko deta tha
color="#6a98a5">Submitted By Muneer |
<<First
<Previous
51
52
53
54
55
56
57
58
59
60
Labels:
Ghazal SMS
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment