Monday 21 January 2013

Parveen Shakir: Sundar komal sapanon kii baaraat guzar gaii jaanaan

Parveen Shakir 
was a legendary female poet who started her professional career in her childhood. Her first book was �Khushbu�. Then she came up with other books named Sad-Barg, Khud�kalaami, and Inkar. Sadly, she died in a car accident while she was going to work in 1994.
We are always willing to add more and more poetry of her.



sundar komal sapanon kii baaraat guzar gaii jaanaan

sundar komal sapanon kii baaraat guzar gaii jaanaan
dhuup aankhon tak aa pahunchii hai raat guzar gaii jaanaan 

bhor samay tak jis ne hamein baaham ulajhaaye rakhaa 
vo albelii resham jaisii baat guzar gaii jaanaan

sadaa kii dekhii raat hamein is baar milii to chup ke se 
Khaalii haath pe rakh ke kyaa saugaat guzar gaii jaanaan

kis konpal kii aas mein ab tak vaise hii sar-sabz ho tum 
ab to dhuup kaa mausam hai barasaat guzar gaii jaanaan

log na jaane kin raaton kii muuraaden maangaa karate hain 
apanii raat to vo jo tere saath guzar gaii jaanaan


No comments:

Post a Comment