Monday 21 January 2013

Parveen Shakir: Khushbuu hai vo to chhuu ke badan ko guzar na jaaye

Parveen Shakir 
was a legendary female poet who started her professional career in her childhood. Her first book was �Khushbu�. Then she came up with other books named Sad-Barg, Khud�kalaami, and Inkar. Sadly, she died in a car accident while she was going to work in 1994.
We are always willing to add more and more poetry of her.




Khushbuu hai vo to chhuu ke badan ko guzar na jaaye

Khushbuu hai vo to chhuu ke badan ko guzar na jaaye
jab tak mere vajuud ke andar utar na jaaye

Khud phuul ne bhii honTh kiye apane niim-vaa
chorii tamaam rang kii titalii ke sar na jaaye

is Khauf se vo saath nibhaane ke haq men hai
khokar mujhe ye laDakii kahiin dukh se mar na jaaye

palkon ko us kii apane dupaTTe se poNch duuN
kal ke safar men aaj kii gard-e-safar na jaaye


[gard = dust] [vajuud = existence]






No comments:

Post a Comment