Sunday 16 January 2011

Kabhi khud bhi mere paas aa

Kabhi khud bhi mere paas aa meri bat sun mera sath de
jo khalish hai dil se nikal ke mujhe uljhanon se nijat de

tera sochna mera mashghala tujhe dekhna meri aarzoo
mujhe din de apne khayal ka mujhe apne qurb ki rat de

main akaila bhatkoon kahan kahan ye safar bohat taweel hai
meri zindagi mere sath chal mere hathon mein apna hath de

Thursday 13 January 2011

Koi aesa pal bhi huwa kare

Koi aesa pal bhi huwa kare
Main kahun tu bas wo suna kare
Meri fursatein mere mashghale
Sabhi apne naam likha kare
Koi baat ho kisi shaam ki
Koi zikar ho kisi raat ka
Jo sunane bethon usey kabhi
Wo sune to sun ke hansa kare
Jo main kahon chalo us nagar
Jahan jugnuon ka hajoom ho
Wo palat ke dekhe meri taraf
Aur mujhko pagal kaha kare

Kuch Khawab hain jinko likhna hai

Kuch Khawab hain jinko likhna hai
Tabeer ki surat deni hai
Kuch log hain ujray dil walay
jinhien apni muhabbat deni hai
Kuch phool hain jinko chunana hai
Aur haar ki surat deni hai
Kuch apni neendien baki hain
jinhien bantna hai kuch logoon main
unko bhi to rahat deni hai
Aye umer-e-Rawan
Ahista chal
Abhi khasa qarz chukana hai

Paas tum Hotey To Koi Shararat Kartey

Paas tum Hotey To Koi Shararat Kartey,
Tujhey Le Kar Bahon Mein Mohabbat Kartey

Dekhtey Teri Ankhon Mein Neend Ka Khumar
Apni Khoyi Hui Neendon ki Shikayat Kartey

Teri Aankhon Mein Apna aks Dhoondtey
Khud Se Bhi Zeyada Teri Chahat Kartey

Jis Ki Hakumat Thi Us Ke Ghulaam Thay,
Qabeelay Mein Ae Dost kis Se Beghawat Kartey

Ek Dil He Tha, Wo Be Us Ke Paas Tha,
Raat Bhar Jaag Ker Kis Ki Hifazat Kartey

Tujh se bichra to kidhar jaun ga

Tujh se bichra to kidhar jaun ga
main to bechaini se mar jaun ga

main to aisay nahi jane wala
chand doobey ga to ghar jaun ga

motiyon se bhara bartan hoon main
toot jaun ga, bikher jaun ga

main to sehma huwa sanata hoon
apni awaz se dar jaun ga

main agar koi samndar bhi hoon
ik tere dard se bhar jaun ga

waqt ki rut se main farhat abbas
kahin chup chaap utar jaun ga


By: Farhat Abbas Shah

Ajab Masoom Ladki thi

Ajab din thay mohabbat ke, Ajab din thay rafaqat ke
Kabhi gar yaad aa jayen to
Palkon par sitare jhilmilate hain
Kisi ki yaad mein raton ko aksar jagna mamool tha apna
Kabhi gar neend aa jati to hum ye soch lete thay
Abhi to wo hamare waste roya nahi ho ga, abhi soya nahi ho ga
Abhi hum bhi nahi rote, abhi hum bhi nahi sote
So phir hum jaagte thay aur usko yaad karte thay
Akele beth kar weeran dil abad karte thay
Hamare saamne taron ke jhurmat mein akela chand hota tha
Jo uske husn ke agey bohat he maand hota tha
Flak par anginnat roshan sitaron ko
Jo hum tarteeb dete thay to uska naam banta tha
Jo agle roz jab miltey
To guzri raat ki har bekali ka zikr karte thay
Har aik qissa sunate thay
Kahan kis waqt kis tarha se dil dhadka batate thay
Main jab kehta ke jannan aaj to main raat ko aik pal nahi soya
To wo khamosh rehti thi
Par uski neend mein doobi do jheel si aankhen
Achanak bol uthti thi
Main jab usko batata tha ke main ne raat ko roshan sitaron mein
Tumhara naam dekha hai
To wo kehti tum jhoot kehte ho
Sitare main ne dekhe thay
Aur un roshan sitaron mein tumhara naam likha tha
Ajab Masoom Ladki thi
Mujhey kehti thi lagta hai, ab apne sitare mil he jain ge
Maggar usko khabar kia thi kinare mil nahi sakte
Mohabbat ki kahani mein mohabbat karne walon ke sitare mil nahi sakte
Kinare mil nahi sakte

Ajab Pagal Si Larki Hai

Ajab Pagal Si Larki Hai
Mujhay her khat main likhti hai
�Mujhay tum yaad kertay ho?
Tumhain main yaad aati hooN?�
meri baatain satati hain
meri neendain jagati hain
meri aankhain rulaati hain
december ke sunehri dhoop main abb bhi teheltay ho?
kisi khamosh rustay se
koi awaaz aati hai?
Thatharti sard raatoN main
tum abb bhi chhatt pe jaatay ho?
falak ke sab sitarooN ko
meri baatain sunatay ho?
kitaboN se tumharay ishq main koi kami aai?
ya mairi yaad ke shiddat se aankhoN main nami aai?
Ajab pagal Si larki hai
mujhay her khat main likhti hai.. 
Jawaban ous ko likhta hooN..
meri masroofiyat daikho subah se shaam office main
chiragh-i-umer jalta hai
phir ous k baad duniya kee
kaee majbooriyan pao`n main bairi daal rakhti hain
mujhay bay-fikr, chahat se bharay sapnay nahin dikhtay
Tehelnay, jagnay, ronay kee mohlat hee nahin milti
sitarooN se millay arsa hua..naraz hon shayad
kitabooN se shughaf maira abhi waisay he qayem hai
farq itna parra hai ab ounahin arsay main parhta hooN
tumhain kis ne kaha pagli tumhain main yaad kerta hooN
ke main khud ko bhulanay kee musalsal justajoo main hooN
tumhain na yaad aanay kee musalsal justajoo main hooN
mager yeh justajoo meri bohat nakaam rehti hai
mere din raat main abb bhee tumhari shaam rehti hai
mere lafzoN ki her maala tumharay naam rehti hai
tumhain kis ne kaha pagli tumhain main yaad kerta hooN
poorani baat hai jo log akser gungunatay hain
ounhain hamm yaad kertay hain jinahin hamm bhool jatay hain
ajab pagal si lerki ho
meri masroofiyat daikhoo
tumhain dil se bhulaooN tu tumhari yaad aaye na
tumhain dil se bulanay kee mujhay fursat nahin milti
aur iss masroof jeewan main
tumahray khat ka ikk jumla
�tumhain main yaad aati hooN ?�
meri chahat ki shiddat main kami honay nahin daita
bohat raatain jagata hai mujhay sonay nahin daita
so agli baar apnay khat main yeh jumla nahin likhna
ajab pagal si larki hai mujhay phir bhee ye likhti hai
mujhay tum yaad kertay ho tumhain main yaad  aati hooN ?

Meri zameen par jo chandni hai woh sab teri hai

Meri zameen par jo chandni hai woh sab teri hai
mere falak par jo dilkashi hai woh sab teri hai
jo titliyon ke paron pe likhe hain khat mere hain
yeh jugnuon mai jo roshni hai woh sab teri hai
jo shab pe chayi khamoshian hain woh sab meri hain
sehar mai jitni bhi naghmagi hai woh sab teri hai
jo tere manzar mai aur manzar hain sab mere hain
jo mere sene mai shairi hai woh sab teri hai
jo teri muthi mai khusbuen hain woh sab meri hain
jo meri aankhon mai roshni hai woh sab teri hai

Wednesday 12 January 2011

Un ka lehja rabab se barh kar

Un ka lehja rabab se barh kar
Har ada hai shabab se barh kar
Yun to masoom hain bohat leiken
Shokhiyan hain azaab se barh kar
Aarezon par hai sham ki surkhi
Hont unke gulab se barh kar
Dil ke sheeshey mein aur kia hoga
Is haseen mahtab se barh kar
Who jo ke us ke bina guzari hai
Zindagi thi azaab se barh kar
Us ki chup mein hazar qissey hain
Khamushi thi kitab se barh kar
Kia kisi se wo mil ke aye hain
Lag rahe hain nawab se barh kar
Keh do un se �Farah� koi nahi
Dil mein mere janab se barh kar

By: Fareeda Lakhani Farah

Tum mujhey achi lagti ho

Tum mujhey achi lagti ho!
Bas tum mujhey achi lagti ho!
Tum itni sundar ho ke nahi!
Tumhein aik nazar jo dekhey wo
Sudh budh bhole, mudhosh rahe
Bas tum mujhe achi lagti ho
Tum hans do to mosam badlien
Tum jago to duniya jage
Jhilmil jhilmil manzer hon sab
Aur na sojhe kuch aage
Bas tum ko dekhien, dekhtie jayen
Maloom nahi ke tum itni pyari
Itni sundar ho ke nahi
Bas tum mujhe achi lagti ho

By: Amjad Islam Amjad

Mere Mola ye haseen hath salamat rakhna

Mere Mola ye haseen hath salamat rakhna
Aisa lagta hai jo ye hath dua ko utthen
khud farishtee chale atey hon zameen ki janib
sonp kar marmareen hathon ki hatheli ko hina
jo bhi manga ho woh chup chap diye jate hoon
Mere Mola ye haseen hath salamat rakhna

Is ki khushboo se muattar hai mera sara wajood
in hi hathon mein mere khwab chupe hain mola
ungliyan mujh ko muhabbat mein bigo deti hain
Unhi pooron ne mere dard chune hain mola
in ki rag rag mein muhabbat hi muhabbat rakhna
Mere Mola ye haseen hath salamat rakhna

Inhi hathon ki lakeeron mein muqaddar hai mera
ye jo kone mein sitara hai sikandar hai mera
khwab se naram khyalon ki tarha nazuk hain
in ke har lams mein mere liye chahat rakhna
Mere Mola ye haseen hath salamat rakhna
Mere Mola ye haseen hath salamat rakhna

By: Wasi Shah

Bandh lein hath pe seenay pe saja lein tum ko

Bandh lein hath pe seenay pe saja lein tum ko
Jee mein aata hai ke taweez bana lein tum ko

Phir tumhein roz sanwarein tumhein barhta dekhein
kyun na aangan mein chambeli sa laga lein tum ko

Jese baalon mein koi phool chuna karta hai
Ghar k guldan mein phoolon sa saja lein tum ko

Kiya ajab khuwahishein Uthti hain hamarey dil mein
Kar ke munna sa hawaon mein uchha lein tum ko

Is qadar toot ke tum pe hamein piyar aata hai
Apni banhon mein bharein maar hi daalein tum ko

Kabhi Khwabon Ki Tarah aankh Ke Pardey Mein Raho
Kabhi Khwahish Ki Tarah Dil Mein Bulain Tum Ko

Hai tumharey liye kuch aesi aqeedat dil mein
Apney hathon mein duaon sa utha lein tum ko

Jaan dene ki ijzat bhi nahi dete ho
Verna mar jayen abhi mar k mana lein tum ko

Jis Tarah Raat Ke Seeney Mein Hai Mehtaab Ka Nur
Apne Tareek Makanon Mein Saja Lein Tum Ko

Ab To Bas aikk he Khwahish Hai Kisi Mor Per Tum
Hum Ko Bikhrey Huwe Mil jao Sambhalein Tum Ko


By: Wasi Shah

Tuesday 11 January 2011

Gungunati Hui Ek Nadi Mil Gayee

Gungunati Hui Ek Nadi Mil Gayee
Ajnabi Sheher Mein Dosti Mil Gayee
Tum Mile Kya Mujhe Zindagi Mil Gayee
Shayaron Ke Liye Shayari Mil Gayee
Raat Ke Sheher Ko Chandni Mil Gayee
Tum Mile Kya Mujhe Zindagi Mil Gayee

Har Taraf Tum Nazar Aa Rahe Ho Mujhe
Door Hoon Paas Apne Bula Lo Mujhe
Main Mohabbat Hoon Dil Mein Chhupa Lo Mujhe
Aaj Apne Gale Se Laga Lo Mujhe
Dosti Mil Gayee Shayari Mil Gayee
Tum Mile Kya Mujhe Zindagi Mil Gayee

Main Yeh Kehta Hoon Khwaabon Ki Jannat Ho Tum
Khwaab To Khwaab Hain Ek Haqeeqat Ho Tum
Dil Mohabbat Ka Mandir Hai Moorat Ho Tum
Is Zameen Pe Khuda Ki Inaayat Ho Tum
Bandagi Mil Gayee Har Khushi Mil Gayee
Tum Mile Kya Mujhe Zindagi Mil Gayee

KUCH DEIR HAMARE SATH RAHO

Kuch deir hamare sath raho , 
kuch apne rang bikharne do , kuch apni khushboo bikhraoo ,
aur shereen shabnumi lehje mein , koi naram mulaaim baat karo ,
jis lamhe mein mojood hain hum , ye lamha mauj hai saghir ki ,
Tum is lamhe ke sath bahoo ,
Kuch deir hamare sath raho ,
tareeekh ke jabr ki baat hai kya , Hum dono ki oqaat hai kya ,
Kuch roop ka sona daan karo , Khairaat apni muskan karo ,
Hum jaise shair logon ka , jeena marna asaan karo ,
Sandal si bahein phailao , Kuch nazmein ghazlein de jao,
Jo shayed baqi reh jaain , Phir do so saal ke bad koi
Naqash kamal e fun kar de , Apni har poor qalam kar de
Aur raj kattaas ke pathar par , ik lok riwayat naqsh kar de
Hum dono ko tamseel kare, Aina aks ba aks kare
Jis aks pe khushboo lehraye , Jis naqsh pe titli raqs kare
Phir aik hazar baras guzrein , Phir char hazar baras guzrein,
Aasar shinasi ke mahir, is dor ki jab tahqeeq Karen
Is rasmul khat ko pehchane, is lamhe ki tasdeeq Karen
Ye lamha qaim o daim ho , Is lamhe ki sab komalta
us ehed e shayer tak pohanche , ye qissa akhir tak pohanche
Kuch deir hamare sath raho
Koi kia jaane, lamha bhar mein, ye lamha apne sath na ho
Kuch deir hamare sath raho

By: Dr Kosar Mehmood

TUMHEIN MUJH SAY MOHABBAT HAI

Musalsal soch mein rehna
kisi say kuch nahi kehna
kisi goshey mein chup ke
khud se mehwey guftugu rehna
achanak dil may koi mitha mitha dard uthna
be-sabab be-chain ho jana
akeley beth ke rona
kayi raatain nahi sona
wo pehron bethey bethey
jane kis manzar mein kho jana
kisi aahat kisi bhi chaap se
phir chonk si parna
mere saye say bachna
samne aane se katrana
suno pagal si ae larki
kahi aur an-kahi ke darmiyan 
sooli pe latki ho
tumhein maloom hai tum jaan kar
manzil say bhatki ho?
yeh mana tum bohat khud-dar ho
per yeh haqeeqat hai
Ana ik had tak achi hai
maggar us had ke agaye
yeh mehz ik khud-fareebi hai
aziyat seh rahi ho aur chup ho
kiya qayamat hai
tum akhair kyun nahi kehtin
tumhein mujh se mohabbat hai

BY: Khalil Ullah Farooqui

MUHABBAT KHUSH GUMA HAI

Tumhari angushtari ke nagg mein
Meri muhabbat chamak rahi hai
Agar kabhi ye guman guzre
Ke tumhein main bholne laga hoon
To is nageene ko dekh lena
Meri nigaho ki jagmagahat
Tumhari ankhon se ye kahe gi
"Suno Muhabbat To Khushguma Hai"
Agar koi bugz-e-dil ka mara
Nazar se toota hua sitara
Tumhare seene mein waswason ke
kaseele khanjar utarta ho
ke wo, jo dil phaink-o-bewafa hai
ke wo, jo sab pe farefta hai
ke wo, jo pardes ja basa hai
Tumhein bhanwar beech chor de ga
Wafa ke sab qaul toor de ga
To is se pehle ke roo paro tum
To is se pehle ke jal bojho tum
To is se pehle ke ye kaho tum
Wo ahd-o-peman sab ghalat they
Wafa ke unwaan sab ghalat they
Seher ke imkaan sab ghalat they
Tum apni angusht-e-dilruba per
Gulab Chehra Jhuka Ke Kehna
"Suno Wo Sach Much He Bewafai Hai?"
Tumhara rota sawal sun kar
Ye shokh nagg muskura pare ga
muhabbaton ke safeer ban ke
Ye surKh nagg aur haseen angoothi
Meri numaindagi karein ge
Tumhare chehre se chher karte
Tumhari ankhon ke rang parhte
Tumhare balon pe hath rakh ke
Tumhare galon ko thapthapa ke
Haseen angushtari kahe gi
"
Suno Muhabbat To Khushguma Hai"

BY: Khalil Ullah Farooqui

Pyar kia hai?

Pyar heirat hai jise koi chupa bhi na sake
Pyar dolat hai jise koi chura bhi na sake
Pyar afat hai jise koi bhula bhi na sake
Pyar naghma hai jise koi ga bhi na sake
Pyar nala hai jise koi daba bhi na sake
Pyar shikwa hai ke honton pe jo aa bhi na sake
Pyar qissa hai jise koi suna bhi na sake
Pyar qarza hai jise koi chukka bhi na sake
Pyar fitna hai jise koi sula bhi na sake
Pyar kitna hai koi itna bata bhi na sake
Pyar tamgha hai jise koi saja bhi na sake
Pyar vaada hai jise koi nibha bhi na sake
Pyar dhoka hai jo koi khaye to kha bhi na sake
Pyar parda hai jise koi hata bhi na sake
Pyar hai naaz jise koi utha bhi na sake
Pyar shoal hai jise koi bujha bhi na sake
Pyar ki aanch se dil koi bacha bhi na sake
Pyar basti hai jise koi basa bhi na sake
Pyar taqat hai jise koi hara bhi na sake
Pyar shokhi hai jise koi rula bhi na sake
Pyar toote to koi is ko bana bhi na sake
Pyar roothe to koi is ko mana bhi na sake

By: Zahoor Ahmad Fateh

Monday 10 January 2011

Aks e khushboo hoon Bikharne se na roke koi

Aks e khushboo hoon Bikharne se na roke koi
Aur bikhar jaun to mujh ko na sametey koi

Kanp uthi hoon main ye soch ke tanhayi mein
Mere chehre pe tera naam na parh le koi

Jis tarah khwab mere ho gaye reza reza
Is tarah na kabhi toot ke bikhre koi

Main to us din se harasaan hoon ke jab hukam mile
Khushk phoolon ko kitabon mein na rakhe koi

Ab to is rah se wo shakhs guzarta bhi nahi
Ab kis umeed pe darwaze se jhanke koi

Koi aahat koi awaz koi chap nahi
Dil ki galiyan bari sunsaan hain aye koi

By: Parveen Shakir

Aahat si koi aye to lagta hai ke tum ho

Aahat si koi aye to lagta hai ke tum ho
Saaya koi lehraye to lagta hai ke tum ho

Jab shaakh koi hath lagate he chaman mein
Sharmaye lachak jai to lagta hai ke tum ho

Sandal se mehekti hui purkaif hawa ka
Jhonka koi takraye to lagta hai ke tum ho

Orhey huwe taron ki chamakti hui chadar
Naddi koi bal khaye  to lagta hai ke tum ho

Jab raat gaye koi kiran mere barabar
Chup chaap se so jaye to lagta hai ke tum ho

By: Jaan Nisar Akhtar

Aapki Nazaron Ne Samjha Pyaar Ke Kabil Mujhe

Aapki Nazaron Ne Samjha, Pyaar Ke Kabil Mujhe
Dil Ki Ae Dharkan Theher Ja, Mil Gayi Manzil Mujhe


Jee Hamein Manzoor Hai, Aapka Ye Faisla
Kah Rahi Hai Har Nazar, Banda Parvar Shukriya
hans ke apni zindagi mein kar liya shamil mujhey


Aapki Manzil Hoon Main Meri Manzil Aap Hain
Kyun Main Toofaan Se Darun Mere Saahil Aap Hain
Koi Toofanon Se Kah De, Mil Gaya Sahil Mujhe


Par Gayi Dil Par Mere, Aapki Parchhaiyan
Har Taraf Bajne Lagi Saikaron Shehnaiyan
Do Jahan Ki Aaj Khushiyan Ho Gayi Hasil Mujhe

Aapki Nazaron Ne Samjha, Pyaar Ke Kabil Mujhe

Jane kia baat hai "kyun tum se mohabbat hai mujhey"

Jane kia baat hai kyun tum se mohabbat hai mujhey

Chand sooraj se sitaron se haseen lagte ho
Zindagani ki baharon se haseen lagte ho
Aesa kia hai ke hazaron se haseen lagte ho
Jane kia baat hai kyun tum se mohabbat hai mujhey

Dil ki har baat to hum tum se keh nahi sakte
Tum juda hum se raho ye bhi nahi seh sakte
Chhor kar tum ko kahin door nahi reh sakte
Jane kia baat hai kyun tum se mohabbat hai mujhey

Mil gaye tum to mujhey pyar ka ehsaas mila
Khil gaye hont tumhare to mera dil bhi khila
Tum ho shayed meri barson ki duaon ka sila
Jane kia baat hai kyun tum se mohabbat hai mujhey

Meri dharkan ko meri saans ho awaz ho tum
Sab se jo main ne chupaya wohi ik raaz ho tum

By: Ibrahim Ashq

Mohabbat ki nahi jati ho jati hai aksar

Mohabbat bewafa hargiz nahi hoti
Mohabbat karne wale
lakh andeshon mein ghir jain
mohabbat kar ke pachtain
to in ke apne kehne se
mohabbat bewafa hargiz nahi hoti
mohabbat sirf aik tarze ibadat hai
mohabbat khud khuda hargiz nahi hoti
mohabbat aik diya hai
jo faseele dil pe roshan hai
mohabbat noor ki pehchan ka
pehla hawala hai
mohabbat se ujala hai
mohabbat ki nahi jati
ye ho jati hai aksar
aur ho jai to
tarpati hai
tarpati bhi aesi hai
ragon mein khoon chalta hai na rukta hai
sarapa ajnabi zakhmon se dukhta hai
mohabbat rog ban jati hai
rog aesa
ke koi kaam karne ko jee nahi chahta
hadd ye ke marrne ko jee nahi chahta
leikin
mohabbat bewafa hargiz nahi hoti

By: Natiq Jaffari

Kash Main Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota

kash main tere haseen hath ka kangan hota
tu baray piyar se chao say bare maan ke sath

apni nazuk si kalayee main charhati mujh ko
aur betabi se furqat kay khizan lamhon main

tu kisi soch mein doobi jo ghumati mujh ko
main tere hath ki khushboo se mehak sa jata

jab kabhi mood mein aakar mujhay chooma karti
tere honton ki main hiddat se dehek sa jata

raat ko jab bhi tu neendon kay safar par jati
marmarin hath ka ik takiya banaya karti
main tere kaan se lag kar kayi batein karta
teri zulfon ko tere gaal ko chooma karta

jab bhi tu band qaba kholne lagti jaanan
apni aankhon ko tere husn se kheza karta

mujh ko betaab sa rakhta teri chahat ka nasha
main teri rooh ke gulshan mein mehekta rehta

main tere jism ke aangan mein khanakta rehta
kuch nahi tu yehi benam sa bandhan hota

kash main tere hanseen hath ka kangan hota

By: Wasi Shah

Agar talaash karoon koi mil he jai ga

Agar talaash karoon koi mil he jai ga
Maggar tumhari tarah kon mujh ko chahe ga

Tumhein zaroor koi chahton se dekhe ga
Maggar wo aankhein hamari kahan se laye ga

Tumhare sath ye mosam farishton jesa hai
Tumhare bad ye mosam bohat sataye ga

By: Bashir Badar

Mujhey Sandal kar Do

Apne ehsaas se choo kar mujhay sandal kar do
Main ke sadiyon se adhoora hoon mukammal kar do

na tumhein hosh rahe na mujhey hosh rahay
is qadar toot ke chaho, mujhey pagal kar do

Tum hateeli ko meray pyar ki mehndi say rango
apni ankhooon main mere naam ka kajal kar do

is ke Saye mein mere Khwab dehek uthein gey
Mere chehre pe chamakta huwa aanchal kar do

Dhoop he dhoop hoon main toot ke berso mujh par
is qadar barso meri rooh mein jalthal kar do

Apnay honton se koi mohar lagao mujh par
aik nazar pyar say dekho mujhey ghayal kar do

jese sehraon mein har sham hawa chalti hai
is tarha mujh mein chalo aur mujhey thal kar do

tum chupa lo mera dil ot mein apne dil ki
aur mujhey meri nigahon se bhi ojhal kar do

Masla hoon to nigahein na churao mujh se
Apni chahat se tawajha se mujhay hal kar do

apne gham se kaho har waqt mere sath rahe
aik ehsaan karo isko musalsal kar do

mujh pe chaa jao kisi aag ki surat janaan
aur meri zaat ko sookha hua jangal kar do

By: Wasi Shah

Suna hai log usay aankh bhar ke dekhtay hain

Suna hai log usay aankh bhar ke dekhtay hain
So us ke sheher main kuch din theher ke dekhte hain

Suna hai rabt hai us ko kharab halon se
So apnae aap ko barbad kar ke dekhte hain

Suna hai dard ki gahak hain chashm-e- naz us ki
So hum bhi us ki gali se guzar ka dekhte hain

Suna hai us ko bhi hai sher-o- shayari se shaghuf
So hum bhi mojaze apne hunar ke dekhte hain

Suna hai bole to baton se phool jharate hain
Ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain

Suna hai raat usey chand takta rehta hai
Sitare baam-e- falak se utar ke dekhte hain

Suna hai hashr hain us ki gazal si aankhain
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain

Suna hai din ko usey titliyan satati hain
Suna hai raat ko jugno theher ke dekhte hain

Suna hai rat se barh kar hain kakulan us ki
Suna hai sham ko saye guzar ke dekhte hain

siyah chashm to dekhey hain par na aese bhi
So us ko surma farosh aah bhar ke dekhte hain

Suna hai us ke labon se gulab jalate hain
So hum bahar par ilzaam dhar ke dekhte hain

Suna hai aaina tamasaal hai jabin us ki
Jo saada dil hai usey ban sanvar ke dekhte hain

Suna hai jab se hamail hain us ki gardan main
Mizaj aur he lal-o- gauhar ke dekhte hain

Suna hai chashm-e- tassawar se dasht-e- imkan main
Palang zawaiye us ki kamar ke dekhtay hain

Suna hai us ke badan ke tarash aise hain
Ke phool apani qabayain qatar ke dekhtay hain

Woh sarvqad hai magar begul-e- muraad nahin
Ke us shajar pe shagufay samar ke dekhte hain

Bas ik nigah se loota hai qafila dil ka
So raherwaan-e-tamanna bhi dar ke dekhte hain

Suna hai us ki shabistan se mutasil hai bahisht
Makin udhar ke bhi jalwe idhar ke dekhte hain

Rukey tu gardishein us ka tawaaf karti hain
Chaley to us ko zamaney theher ke dekhte hain

Kisay naseeb ke be perahan usey dekhay
Kabhi kabhi dar-o- deewar ghar ke dekhte hain

Khaniyan hi sahi sab mubaalghey hi sahi
Agar woh khwab hai tabeer kar ke dekhte hain

Ab us ke sheher mein theherein ki kooch kar jayein
�Faraz� aao sitare safar ke dekhte hain

By: Ahmed Faraz

Sunday 9 January 2011

Chehre Pe Mere Zulf ko Phelao Kisi Din


Chehre pe mere zulf ko phelao kisi din
kia roz garajate ho baras jao kisi din

razon ki tarah utro mere dil mein kisi shab
dastak pe mere hath ki khul jao kisi din

peron ki tarah husn ki barish mein naha loon
badal ki tarah jhoom ke ghir aao kisi din

Khushboo ki tarah guzro mere dil ki gali se
phulon ki tarah mujh pe bikhar jao kisi din

phir hath ko khairaat mile band-e-qaba ki
phir lutf-e-shab-e-vasl ko dohrao kisi din

guzarein jo mere ghar se to ruk jayen sitare
is tarah meri raat ko chamkao kisi din

main apni har ik sans isi rat ko de dun
sar rakh k mere seene pe so jao kisi din

By: Amjad Islam Amjad

Saja Ke Aankhon Mein Khwab Rakhna

Saja Ke Aankhon Mein Khwab Rakhna
wafa ke rishte gulab rakhna

faseel e shab mein chiragh ban kar
ye zindagi mahtaab rakhna

yun ishq ka imtehan dena ke dil ke badly mein jan dena
jo chand chun-ne ki aarzu ho to justuju lajwab rakhna

hazaar batein banaye dunya hazaar dil ko dukhaye dunya
bhula ke sari aziyaton ko utha ke kaante gulab rakhna

kabhi zamane se chhup chhupa k sakoot- e- shab me diye bujha ke
hatheliyon ko dua ki shamma to aankh apni chanab rakhna

adawtein bhi Khuda ki khatir mohabten bhi Khuda ki khatir,
adawten bas gini chuni hon mohabbatein be hisaab rakhna