Saturday 31 July 2010

Aqwal-e-Zareen SMS Page 8


expr:addthis:title='data:post.title'
expr:addthis:url='data:post.url'>href='http://www.addthis.com/bookmark.php?
v=250&username=muhu88' class='addthis_button_compact'>Share

|












1






Jo Dosron Ko Shak Ki Nazar Se Dekhte Hein,

:::

Woh Apne Kirdaar Ki Buraiyaan Logon Mein Talash Karte Hain.










color="#6a98a5">Submitted By Muneer


2






Kisi ko tum dil se 'CHAHO'

Aur Wo Tumhain Thukraa Day

To Ye Us ki BADNASEEBI Hay,Tumhari Nahi"

HAZRAT ALI (R.A)










color="#6a98a5">Submitted By Muneer


3






Logon Ke Dilon Mai Apna Maqam Iss Tarah Bana Lo Ke..

Mar Jao Tou Tumhare Liye Royen..

Aur Zinda Ho Tou Tum Se Milna Pasand Karen..

(HAZRAT ALI R.A)










color="#6a98a5">Submitted By Muneer


4






Sub sy ziada kamzor admi wo hy jo dost ko hasil krny me nakam ho

Or us se b ziada kamzor wo ha jo hath aye hue dost ko ganwa de".
(Hazrat Ali R.A)










color="#6a98a5">Submitted By Muneer


5






Zndgi 2 din ki hai 1 Din tmhre HAQ mein 1 Din tmhre khilaf

Jisdin tmhre HAQ mein ho usdin Ghurur mt krna

Aur jb tmhre khilaf ho us din sbr kr lena.










color="#6a98a5">Submitted By Muneer


6






"SirF do Log Muqaddar waLe hote hain,

"Ek Wo Jinhen WaFadar Dost Milta hai aur"

"Doosre Wo Jin k sath "MAA" ki Duaen hoti hain."










color="#6a98a5">Submitted By Muneer


7






Jis ko KHUDA ne Dua ki Tofeeq di ho...

Wo Qabooliat se Mehroom nhi reh sakta.

Jise KHUDA Astaghfaar ki Tofeeq de...

Wo Maghfirat se Mehroom nhi reh Skta.

Jis ko KHUDA Shukar ki Tofeeq ataa kr de...

Wo Naimaton se Mehroom nhi reh Skta.










color="#6a98a5">Submitted By Muneer


8







"Behatareen Yaadasht yeh hai...

ke Insaan apni Nekiyan aur doosron ki Ziyadtiyan bhoolta chala jaye."










color="#6a98a5">Submitted By Muneer


9






GOLDEN WORDS::

"Dukh me kabhi pachtawe k Aansu na bahao

balke ye socho

k Tum wo Khush'Naseeb ho Jisse 'ALLAH' ne azmaish k Qabil samjha hy."










color="#6a98a5">Submitted By Muneer


10






Kisi ki KHUSHI mein shreek na ho

Balke us ki KHUSHI ki waja bn jao,

or Hr kisi k DUKH mein shreek ho jao,

Na k us k DUKH ki waja bano."










color="#6a98a5">Submitted By Muneer














Pages:

1  
2  
3  
4  
5  
6  
7  
8  
9  
10  



Thursday 29 July 2010

Sardar SMS Page 7

1






Sardar to his father: "Aba, ethey aa ja".

His mom: "beta, abay nu izzat naal bulana chai da".

Sardar: "Abba, izzat naal ethey aa ja"!,










color="#6a98a5">Submitted By Muneer


2






1sardar

Apni maa ki Qameez or Baap ki Shalwar pehn k bazar mai ghoom raha tha...

Kisi ne pucha ye kya fashion he?

Sardar:

"FullMummy Daddy"










color="#6a98a5">Submitted By Muneer


3






Sardar nY Chalnge Kia...

k Vo Minar E pakistan Ko Sir Pr Utha kr India ja Skta hY,

Hazaron log Ekathe ho gaY

Sardar Bola"Inu Chuk k Mery Sir tY Rakho"










color="#6a98a5">Submitted By Muneer


4






A sardar said to his friend:

"mujhy smajh nahi aati k log maheena maheena kaisy nahi nahatay?
Mujhy to 28vein din kharish hona shuru ho jati hai"....










color="#6a98a5">Submitted By Muneer


5






Sardar 1 baalti main paani le kar ja raha tha k barish shuru ho gai...

0r barish ka pani balti main chala gaya.

Sardar: o tawadi khair sara pani gila ho gya...!










color="#6a98a5">Submitted By Muneer


6






Sardar goes to new job...

1st day he spent 11 hrs on computer

Boss was hapy & asked what u did ?

Sardar: keyboard te ABC agy pichy lagi c o khol k sidi keti...










color="#6a98a5">Submitted By Muneer


7






Sardar dentist se :kya dard k baghair daant nikaal lete ho?

Dr: nahi.

Sardar: Main nikal leta hoon.

Dr: wo kaise?

Sardar: Hee hee hee hee hee hee...










color="#6a98a5">Submitted By Muneer


8






Sardarni:

Kyun ji, Tussi car di speed kyun vadha ditti ae?

Sardar:

Break fail ho gayi hai, accident hon to pehle hi ghar pohanch jaawan ge










color="#6a98a5">Submitted By Muneer


9






Sardar:

Agr mere hath me hukumt ho to Me MULK ki Tqdeer badaL don.

Wife:

Tum pehle Apni Shalwar to badal Lo, Subha se meri pehn k ghom rahe ho










color="#6a98a5">Submitted By Muneer


10






Sardar in Fire Brigade:

Lady called: Mere Ghar Mai Aag Lag Gai Hai.

Sardar: Paani Dalo.

Lady: Dala, Aag Nahi Bujhi.

Sardar: Phir Hum Aa Kar Kya Karenge,Hum Bhi To Pani He Dalengey. :-)










color="#6a98a5">Submitted By Muneer












Pages:
1  
2  
3  
4  
5  
6  
7  
8  
9  



Wednesday 28 July 2010

Ghazal SMS Page 50



1





Tujhy udaass bhi karna tha khud bhi rona tha ,,,

Ye haadsa bhi meri jaan kabhi to hona tha ,,,



Namu ka ranj na abr-e-gurez pa sy mAlal ,,,

K muj ko baanjh zmeenon me beej bona tha ,,,



Ye kya k gard-e-rah-e- raftgaan ko ourh liya ,,,

Kafan ka dagh badun k lahu sy dhona tha ,,,



Jo dastaan usy kehna thi phr na-gufta rahi ,,,

K main b thk sa gya tha, usy b sona tha,,,



Main takht-e-abr pa soya tha raat bhr "MOHSIN"

Khuli Jo aankh to sehraa mera bichona tha..@









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


2





Ankhon me raha dil me utr kr nhe dekha ,,,,

Kashti k musafir ny samundr nhe dekha ,,,,



be'waqt agr jaon ga sb chonk parhen gy ,,,,

ik umr hui din me kabighar nhe dekha ,,,



Jis din sy chala hun meri manzil py nazar hai ,,,

Ankhon ny kbi meel ka pathar nhe dekha ,,,,



Ye phool mujy koe wrasat me mily hen...

Tum ne mera kanton bhra bistar nahe dekha...



Pathr Mujhy kehta hai mera chahany Wala..

Me mom hun us ne mujhy Chou kr Nahi dekha....@









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


3





Bhulata laakh hon lekn brabr yad aty hain.

Elahi tark e ulaft par woh kun kr yad ate hain?



Na chair aye hamnsheen kefiat e sehba ke afsany.

Sharab e bekhudi ke mujh ko saghr yad aty hain.



Nhen ati to yad on ki mheeno tk nhen ati.

Magar jb yad aty hain to aksr yad ate hain.



Hqeeqt khul gai Hasrat Tere tark e mhbt ki.

Tujhy to ab woh pehly sy bi barh kr yad aty hain!!









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


4





Meri zindgi ka tasawur mere hath ki lakeeren,

Inhen kash tum badalte to kuch aur bat hoti!



Ye khule khule se gesoo, inhen lakh mai sanwaru,

Tery hath se sanwarte to kuch aur bat hoti!



Tu mera aaina tha tu mera aaina hai,

Tery samne sanwarte to kuch aur bat hoti!



Abhi ankh hi larri thi k gira dya nazar se,

Ye jo silsila barhate to kuch or bat hoti!



Hamen apni zindgi ka kuch gham nhi he KHADIM,

Tere aastan pe marte to kuch or bat hoti.









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


5





Mein wohi hon jise tum dost kaha karte they

Din me so bar mera naam liya karte they

Mein na mil paon to tum aahen bhara karte they



Aaj kya bat hy kyun mujhse khafa bethe ho

kya kisi or ko tum dost bana bethe ho?



Faasle itne to na pehle huwa karte they

Men wohi hon jise tum dost kaha karte they.









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


6





Ghar men suraj k utrny ka boht ranj hua,

Kal mujhe raat guzrny ka bahut ranj hua.



Jis ne kr dala meri zat ko reza reza,

Mujh ko us k b bikhrny ka bahut ranj hua.



Yoon to is shehr men jhoot koi aib nahi,

Jany q tery mukarny ka bahut ranj hua?



Ab tujhy dekhny, milny ki tamanna hi nahi,

Niyat-e-shoq k bhrny ka bahut ranj hua.



Kuch kr jaengy aesa MOHSIN k kahy gi ye dunya,

Hm ko ik shakhs k marny ka bahut ranj hua...









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


7





Kab dard k maron ko sakoon hota hai MOHSIN,

Jab ishq nahi hota to janoon hota hai MOHSIN



Bybus fakeeron se nahi pochta koi,

Kis tarha tmannaao ka khon hota hai MOHSIN



Yeh ishq jo apna humain hone nahi deta,

Yeh ishq bhi hota hai to keyun hota hai MOHSIN..?



Har shaam chragoon ki tarha jalti hein Aankhain,

Kaya koi chala jaey to youn hota hai MOHSIN?









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


8





Na Janay Q Meri Shairi Ka Unvan Ban Jatay Ho Tum,

Sub Kuch Jantey Huay B Anjan Ban Jatay Ho Tum,



Na Koi Rishta Hai Tum Se Na Or Koi Ta'alluq,

Phir Bhi Na JaneyQ Mera Maan Ban Jatay Ho Tum,



Main Jo Bhi likhta Hoon Baat Zara Qareeney Se,

Mera Geet Meri Shairi Mera Deevan Ban Jatay Ho Tum,



Dil Se Jo Nikalti Hai labon Pay Aa K Dm Torr Deti Hai,

Wo Tamanna, Vo Hasrat, Vo Arman Ban Jatay Ho Tum...









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


9





Mere Naseeb Me Phir Ye Bahaar Ho K Na Ho,

Najane Phir Wo Mera Ghamkusaar Ho K Na Ho..



Yehi Buhat Hy K Ek Shakhs Chain Pa Jae,

Bhale Darakht Buhat Saya Daar Ho K Na Ho..



Isi Gumaan Ne Kbi Lotnay Diya Na Mujhe,

Najane Usko Mera Intazaar Ho K Na Ho..



Magr Ye Teh Hai K Main Uske Gham Me Rehta Hun,

Mere Liye Wo Bhale BeQarar Ho K Na Ho..



Main Dhoop Ban Nahi Sakta 'WASI' Kisi Ke Liye,

Mere Liye Koi Abr-e-Bahaar Ho K Na Ho..









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


10





Us k sath mein guzra zamana yad ata hy,

Zara c bat pr hasna hasana yad ata hy



wo pehli c mulaqaten wo sharmai hoi batain

Wo manzar chandni shab ka suhana yad ata hy,



Wo uska roth kr baton hi baton main behel jana

Wo mra usko aisay main manana yad ata hy,



Wo honton pe tabas'sum sa wo baton main tran'num sa

Mohabat ka adhora sa fasana yad ata hy,



Uske bary mein jab bi sochta hon main kbi,

Nighaon se nigahon ka milana yad ata hy...









color="#6a98a5">Submitted By Muneer








<<First      

<Previous      

41  
42  
43  
44  
45  
46  
47  
48  
49  
50      

Next>  



Ghazal SMS Page 49



1





" Zid Achi Nahi"

Uljhay Huay Haalaat Ka Shikwa Na Kia Kar,

Kheraat Mein Khushiyon Ki Tamanna Na Kia Kar,



So Baar Kaha itni Mohabat Nhi Achi,

So Baar Kaha itna Bharosa Na Kia Kr,



Halaat Tujh ko Mujh se Na Milny Kabhi Dein Ge,

Ae Mery humsafar Meri Tamanna Na Kia Kr,



Kya janey Ye Kis Morr Pe Le jaey Zamana,

Tu Mujh Ko Kisi Pal Bi Elehda Na Kia Kr,



Mumkin Ha Kisi Roz Bichar jaen Achanak,

Tu Mujh Se Pyar itna Ziyada Na Kia Kr...









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


2





Ek chehra jo mere khwab saja deta hai

Mujh ko mere hi khayalon main sada deta hai



Woh mera kon hai maloom nahi hai lekin

Jab bhi milta hai to pahlu main jaga deta hai



Main jo ander se kabhi toot k bikhron

Woh mujh ko thamny k liye hath barha deta hai



Main jo tanha kabhi chupkay say bhi rona chahon

To Dil k darwazay ki zanjeer hila deta hai



Uski qurbat main hai kya baat na'janay FARAZ

Ek lamhay k liye sadiyon ko bhula deta hai.









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


3





Jagti raat k honton pe fasaney jaisy,

Ek pal me simitt aaye hon zamany jaisy,



Aqal kehti hai bhula do jo nahen mil paya,

Dil wo pagal k koi baat na maany jaisy,



Rasty men wohi manzar hain puraany ab tak,

Bus kami hai tou nahen log puraany jaisy,









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


4





Jitni haseen ho tum utni hi bewafa ho.

Phir bhi mere liye tum, mein kya bataon kya ho.



Tumko saja rakha hai palkon ki chilmano mein.

Tum sans le rahi ho is dil ki dharkano mein.



Itni qareeb ho kar, phir kyun juda juda ho.

Jitni haseen ho tum utni hi bewafa ho.



Mujhko siwa tumhare kuch bhi pata nahi hai.

Dunya mein hai to kya hai, dunya mein kya nahi hai.



Tum phir bhi badguman ho naraz ho khafa ho.

Jitni haseen ho tum utni hi bewafa ho.









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


5





'*.Teri Shidat-E-Muhabat K Diye Jala Kar.*"*.*"*.

'*.Shab-E-Tanhai Men Tujhe Dhonda Aksar.*"*.*"*.



'*.Kabhi Teri Aankhon Men Khud Ko Utarte Dekha.*"*.*"*.

'*.Kabhi Tere Honton Ko Apne Honton Se Lagaya Aksar.*"*.*"*.



'*.Apni Bahon K Saye Men Sula loo Mujh Ko.*"*.*"*.

'*.K Teri Yaad Ki Dhoop Ne Jalaya Aksar.*"*.*"*.



*.Jee Men Aata Hai K Tujh Se Lipat K Ro Don.*"*.*"*.

'*.K Ab Bardasht Nahi Hoti Judayi Aksar.*"*.*"*.









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


6





Jany kyun apni hansi ap urana chahun,,,,

dil ki hr bat zmany ko sunana chahun,,,,



usko khushbu ki trah sath b rakhun apny,,,,

or phr usko zmany sy chupana chahun,,,,



koe bacha mery andr b chupa betha hy,,,,

rooth jata hy, main jb usko manana chahun,,,,



hy mhbt to mhbt me anaa, kya ma'ani,,,,

main to milny ko faqt ik bahana chahun,,,,



ek machli ki trah jal me aya hun main,,,,

or phansta hun jo khud ko churana chahun,,,,



ek uljan me mjy dal diya hy us ny,,,,

chor paon, na usy apna bnana chahun,,,,


YAAD mujko b hen yad kuch purani baten,,,,

bhol kr b na jinhen main bhulana chahun..!!!









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


7





*Wasi Shah*

Gun'gunatey hue aanchal ki hawa de mujhko..

Ungliyan phair k baalon me sula de mujhko..



Yaad kr k mujhe takleef hi hoti ho gi.,

Aik qissa hun purana sa, bhula de mujhko.,



Doobte doobte aawaz teri sun jaon.,

Aakhri baar tu sahil se sada de mujhko.,



Main tere hijr me chup chap na mr jaon kahin.,

Main hun sakte me, kabhi aa k rula de mujhko.,



Dekh main ho gaya badnaam kitabon ki tarah.,

Meri tash'heer na kr, ab tu jala de mujhko...@









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


8





Teray Shaher Teri Soch Say Nikal Jaon Ga,

Kisi Udaas Sham Main Dhal Jaon Ga,



Tu Jo Mukar Gaya Hai Her Baat Say Apni,

Dekh Lena Eik Din Main Bhi Badal Jaon Ga,



Mat Dikha Muj Ko Apna Pasheman Chehra,

Jab Ke Tu Janta Hai Main Pighal Jaon Ga,



Chahay Lakh Tarpon Tere Intzaar Main,

Mat Lot Ke Aana Main Sambhal Jaon Ga,



Tera Hona Itna Zarori To Nahi Hai,

Main To Yaadon Ke Khilony Say Behal Jaon Ga









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


9





Es dard k bad koi dard nhi lagta,

K shiddat-e-dard ki inteha hoti hai MUHBAT.



Nhi uthti wo ankhaen phir kisi pe,

K jin ankhon me fana hoti hai MUHBAT.



Umar bhar jin ka azala na kar paye,

Bas ek aesi hi khata hoti hai MUHBAT.



Jo mil jae to bas phir kya kehna,

Warna ek musalsal saza hoti hai MUHBAT.



Log mujh se har bar yehi pochte hain,

tum ne us me kya dekha,

Dost Main har bar yehi kahta hun"BE WAJA" hoti hai MUHBAT









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


10





Shehr-e-mohbt, hijr ka mosm, ehd-e-wfa or me

Tu to is bsti se khush khush chla gya, or me



Tu jo na ho to jese sb ko chup lg jati he

Aapas me kya baten krte rat, diya or me



Sair-e-chamn aadat thi pehle, ab mjburi he

Teri tlash me chl prte hn bad-e-sba or me



Jis ko dekho teri hu me pagl phirta rhta he

Wrna hm-mushrib to nhi the khalq-e-Khuda or me



Ek zmane bad Faraz ye shair kahe me ne

Ik muddt se mile nhi hn yar mera or me









color="#6a98a5">Submitted By Muneer










<<First      

<Previous      

41  
42  
43  
44  
45  
46  
47  
48  
49  
50      

Next>  



Ghazal SMS Page 48



1





Koi umeed jo hoti tere lout aane ki.

Phir na hoti aisi halat dil dewane ki.



Mein to har haal mein khush rehne ki justju mein raha.

Na gai teri aadat wo staane ki.



Zndgi jabr-e-musalsal ki tarah kaat raha hon.

Nahi deta koi dua bhi mar jane ki.



Tere sang beeta har lamha yaad aata hai.

Jab bhi koshish ki tujhe bhulane ki.



Ab to aksar yehi sochta rehta hoon Wasi

Tujh ko mangon ya mangon dua tuje bhul Jane ki....









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


2





Kuch zindagi bewafa thi,kuch teri dua main farq tha.

Kuch hum se khata hui,kuch teri wafa main farq tha.



Shayad kabhi hum dono aik ho hi jatay,,

Kuch main b tha "ANAA"main,kuch teri "SADAA"main farq tha.



To ne b dekha shayad mujay zamany ki taraha,,

Kuch BHOOL gay thy hum b,kuch teri NIGAAH main farq tha.



Bara naaz kiya kartay thy taray payar pe,,

Kuch DIL k haathoon majboor thy,kuch teri RAZA main farq tha...









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


3





Usi ko apne Dil Me Bsaya aur Bsaya ~Kuch B Nahi~

Jidher Dekha udher woHi Nazer aya or Nazer aya ~Kuch B Nahi~



Dunia walo Ne be-waja Badnam kar diya

Ma Ne bas us ka Dil Churaya or Churaya ~Kuch B Nahi~



Bas Ek usi ko Nahi khona Chahte thy Hum

Lekin Hum Ne bas usi ko Ganwaya or Ganwaya ~Kuch B Nahi~



Wo Jis ko Yaad kiye Baghair Soty Nahi thy

Hum Us Ne bas Hamain Hi Bhulaya or Bhulaya..!! ~Kuch B Nahi









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


4





Kahaniyan Na Suno Aas Pas logon Ki,

K Mera Shehar Hai Basti Udaas Logon Ki,



Mohabbaton ka Safar Khatum Hi Nahi Hota,

Humen To Dosti Aayi Na Raas LoGon Ki,



Humen B, apny kai dost yaad Atay hain,

Chlay jo baat kabi khaas khaas LoGon ki,



Main aany walay zmanay sy darr raha hoon /_FARAZ_/

K main ny dekhi hain aankain udaas LoGon ki......!!!..









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


5





Bari tarap hai meri iltaja k pardey mein,

Main tm ko mang raha hon dua k pardey mein,



Usey b darr hai k ye raaz khul na jaye kahin,

Likhta hai naam mera wo Hina k pardey mein,



Main Uss k koochey se guzra to ye mehsoos hua,

Mujhe pukara hai Uss ne hawa k pardey mein,



Ajeeb tarz-e-maseehai Uss ne dikhlai,

Hayyat meri badal di dua k pardey mein,



Is tarha chehrey ko zulf mein chupaya Us ne,

K jaise chand chupa ho ghat? k pardy me









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


6





Kabhi Pyar hi k jhagry kabhi Mohabaton ki batein

Wohi aap hi k Qisay wohi aap hi ki batein



Wo mila hai mujh ko aksr sar-e-rah chalty chalty

Wohi ajnabi nigahain, wohi berukhi ki batein



Na smajh ska jahan mein koi mera dard yaro

Mere ghum ko log smjhen meri shaairi ki batein



Koi hum ko ye bataey ye junun nhi to kya hai

Miley jab ?hi hum kisi se krein aap hi ki batein



Mere haal pe wo aksr kuch aisay muskuraey

Main suna rha hun jesy ksi ajnabi ki batein.









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


7





*Sitary Bant'ta Hai wo,Ziya Taqseem Karta Hai...!

Suna Hai Habs-e-Mosam MainHawa Taqseem Karta Hai..'''



Usi ki Apni Beti Ki Hatheli KhushkRehti Hai..!

Jo Borrha Dhoop Main Aksar HINA Taqseem Karta Hai..



Koi Roky Usay Ja KarSara-Sar Hai Ye Pagal Pan..

Jo Be'hroon K Muhhally Main Sada Taqseem Karta Hai..



Usi Se Mang Tu "Mohsin"Baaqi Chor De Sub Ko..

Jo Pathar Mein B Keery Ko Ghiza Taqseem Karta He,,









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


8





Darguzar uss ki her jafa kardi,

Uss k haqq mein aaj phir dua kardi,



aik lamhay mein kho diya uss ko,

Jiss ko panay mein inteha kardi!



Jis nay deikha woh ho gaya uss ka,

Uss ki tasweer hum ne Aaiyna kardi,



Uss ki ik zara si khushi k liye,

hum ne,Apnay hi haqq mein bud-dua kardi...









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


9





Harf_e_Ranjish pe koi Baat B ho Skti hai,

Ain Mumkin hai Mulaqaat B ho Skti hai,



Zindagi Phool hai,Khushbu hai,mgr Yaad rhy,

Zindagi Grdish_e_Haalaat B ho Skti Hai,



Hmne Ye Soch k Rkha tha Qdm Gulshan Mai,

Lala_o_Gul Mai Teri Zaat B Ho Skti Hai,



Chaal Chlte Huwe Shtrnj Ki Baazi k usool,

Bhool Jaogy To Phir Maat B Ho Skti Hai,



Aik to Chhatt k Bina ghr Hai Hmara MOHSIN,

Us Pe Ye Khof k Brsaat B Ho Skti Hai.









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


10





Kia poochte ho tere hijr mai kia sochte hen,

Sja k tmko nigahon mai sda sochte hen



Tere wajood ko chhu kr jo guzarti hai kbhi,

Hm us hawa ko b Jannat ki hwa sochte hen



Ye apne zarf ki had hai ya faqat tera lehaaz,

Tere sitam ko muqaddar ka likha sochte hen


MERA US SHEHAR-E-ADAWAT MEIN BASERA HAI JAHAN,

LOG SAJDON MEIN BHI LOGON KA BURA SOCHTE HAIN...



Kis qadar hm hain nadaan dosti me "QATEEL"

Tere ikhlas ko hm teri wafa sochte hain.









color="#6a98a5">Submitted By Muneer









<<First      

<Previous      

41  
42  
43  
44  
45  
46  
47  
48  
49  
50      

Next>  



Ghazal SMS Page 47



1





Na gila hai koi halaat se Na shikayaten Teri zaat sy,

Khud hi saare warq juda huwe Meri zindgi ki kitaab sy.



Tujhe chaha thaTujhe pa liyaTujhe pa k b Tujhe kho diya

Mujhe khwahishon ki thi aarzu Meri zindgi mein azab thy



Meri wehshaton ki raah meinFaqat mehfilon k saraab thy

Kati umar jinki talaash meinMere ratjagon k wohi khwab thy



U bhatak bhatak k tamam umar Kabhi asar hi na huwa mujhe,

Jinhain kho diya Tere ishq meinWo sapnay be hisaab thy.









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


2





Is Imtihan Mein Hoon DIL Ka Hisaab Kis Ko Doon?

Hisaab-e-Ishq Pe Likhi Kitab Kis Ko Doon?



Har Ek Shaks Ko Mujh se Buhat Muhabbat Hy,

Sawal Ye Hy WAFA Ka Jawab Kis Ko Doon?



Mera KHUL00S, MUHABBAT, WAFA, Hy Sab K Liye,

Sochta Hoon K Lab-e-Lubaab Kis Ko Doon?



Mere Liye Tu Sabhi Log Ek Jese Hein,

Sukoon Kis Ko Doon Main Iztiraab Kis Ko Doon?



Hujoom-e-Husn K Melay Me Sochta Hoon Main,

K Apne Haath Me Thaama Gulaab Kis Ko Doon....?









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


3





Veeran bohat hon wasal sy Tashkeel kar Mujhy,

Tu mujh say pyar kar zara tabdeel kar mujhy,



Sehra ki tapti rait sy aa kar mujhy bacha,

Tu Thanday meethay pani ki ik jheel kar mujhy,



Ho jaain na kharab kahain meri aadatain,

Har hukm par na es tarah taa'meel kar mujhy,



Ab es trah se mujh ko adhura na chhor tou,

Main hon tera wada to ab takmeel kr mujhy,



Chhu kr mera wajood tajjali si bakhash dy,

Main ik andhairi raat hoon Qandeel kr mujhy.









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


4





Katin hai rah guzar thodi door sath chalo...

buhut kada hai safar thodi door sath chalo...



tamam umr kahan koi sath deta hai...

main janta hon magar thodi door sath chalo...



nashe mein choor hon main bhi tumhen b hosh nahin...

bada maza ho agar thodi door sath chalo...



tawaf-e manzil-e jana humein b karna hai...

tum b agar thodi door sath chalo...









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


5





Uss Ki Nazron Ka KamaL Na Puchh,::

Ab Jo Huwa Hai Mera HaaL Na Puchh,::



Ho Gayi Uss K Samne Zuban Band Meri,::

Phir Kiya kya Uss Ne Mujh se Sawal Na Puchh,::



MiLta Hai Mujhe Har Rozz Khuwab Main,::

UsY Hai Mera Kitna KhayaL Na Puchh,::



Tere Sang Jo Waqt Guzra MaLoom Nahi,::

JUDAI Main Jo Guzra Wo SaaL Na Puchh,::



TAJIR To Hoon Main Mohabbat Ka Mgr,::

Huwa Kiss Tarah Main KANGAAL Na Puchh.









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


6





Muqaddar chhorh de jisko zamaanaa chhorh deta hai

khizaa meiN har parinda aashiyanaa chhorh deta hai



zamaane bhar ki taqreereN asar mujh par naheeN karteeN

magar ik lafz teraa ik fasaana chhorh deta hai



wo zaalim bewafaa harjaai bhi to hai magar phir bhi

nazar milte hi ik manzar suhana chhorh deta hai.@









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


7





Mujh se baad-e-bahaaran ne ro kr kaha.!

Teri qismat baharon k qabil nahi.!



Teri dunia hy ashkon mai doobi hui.!

Teri aankhen nazaron k qabil nahi.!



Meri kashti ko toofan ne bosay diye.!

Boli moj-e-talatum muje dekh kr.!

Teri taqdir main hain bhanwar hi bhanwar.!

Teri kashti kinaron k qabil nahi.!



Usne mehfil se muj ko utha kr kaha.!

Mera peecha khuda k liye chor do.!

Meri mehfil me phir na aana kabi.!

Ye muhabat k maron k qabil nahi.!









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


8





Kisi kitab me shamil na me nisab me hun

Mgr me ishq o wafa k hr aik baab me hun



Taras gya hun labo'n ki adayigi k liye

Me hurf hurf me bikhra, bare azab me hun



Najane or abhi kis muqam se guzru'n

Abhi to sang ki surat rah-e kharab me hun



Me haq shanas hun haq goyi he mera sheva

Yahi sabab he k me waqt k atab me hun



Zamana laakh giraye nigah se mujhko

Yahi boht he teri chashm-e intikhab me hun



Kamal-e husn kahu'n me k mojza usko

Sawal me agr tu, to me jawab me hun



Me aik naghma-e rangi'n se km nhi

HASRAT Ye or baat k soya hua rabab me hun....!!!@









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


9





Kbhi Tumhara Udaas Dil Ho Khayal Krna K Pas Me Hoon,

Kbhi Kisi Ki Kami Lagy To Kahyal Krna K Pas Me Hoon,



Tumhare Apne Jo Dour Bethe Tumhari Nazaren Utarty Hain,

Jo Tum Na Un Ko Qareeb Pao To Khayal Krna K Pas Me Hoon,



Kbhi Jo Tanhai Me Kisi Ki Sadaen Tum Ko Sunnai Den,

To Chupke Chupke Se Band Aankhon Khayal Krna K Pas Me Hoon,



Ye Mera Wada Bhi Yaad Rakhna K Me Na Tum Ko Bhula Sakoon Ga,

Jo Tum Bhi Mujh Ko Bhula Na Pao Khayal Krna K Pas Me Hoon..









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


10





Naya Dard Ek Dil main Jaga ker Chala Gaya,,,

Kal Phir Woh Meray Sheher mein aa ker Chala Gaya...



Jisay Dhoondti Rahi Main Logon ki Bheerr mein,,,

Mujh say Woh Apna Aap Chupa ker Chala Gaya...



Main Uski Khamoshi ka Sabab Poochti Rahi,,,

Woh Qissay idhar udhar k Suna ker Chala Gaya...


Ye Sochti Hoon Kesay Bhulaaoon Gi Ab Ussay ,,

Aik Shakhs Woh Jo Mujh ko Bhula ker Chala Gaya.!..









color="#6a98a5">Submitted By Muneer








<<First      

<Previous      

41  
42  
43  
44  
45  
46  
47  
48  
49  
50      

Next>  





Ghazal SMS Page 46



1





Faqat Itni Guzarish Thi,Mujhe Kuch Roshni Dena

Tumhe Kis Ne Kaha Tha Ye Meri Basti Jala Dena?



Jisey Barish K Pani Mein Baha Kr Muskratey They

Mujhe Kaghaz Ki Wo KashtiZra Phr Se Bna Dena



Tmhara Rasta Phr Umr Bhr Tkney Se Acha Hai

K Tm Janey Se Kuch Pehley Meri Aankhen Bujha Dena...









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


2





Tere ishq ne bakhshi hy ye soghat musalsal,

Tera zikar hamesha teri baat musalsal,



Ek muddat hoi tere baam o dar se nikle,

Rehti hy phir b tujh se mulaqat musalsal,



Dil lagi,Dil ki lagi ban jati hy,

Jab tasawwur me guzarti hy raat musalsal,



Jab se dekha zulf e preshan ka aalam,

Uljhay howe rehte hain mere din raat musalsal,


Main muhabbat me is muqam pe puhncha hun jahan,

Meri zaat me rehti hy teri zaat musalsal.









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


3





Jab yad ka qissa kholun to..kuch log boht yad aate hain.

Main guzre pal jo sochon to..kuch log boht yad aate hain.



Ab janay konsi nagri me abad hain jakar muddat se..

Me rat gae tak jagoon to..kuch log bht yad aate hain.



Kuch batein thi phulon jesikuch lehjay khushbo jesy thy..

Me sheher-e-chaman me tehloon to...kuch log bot yad aty hain.



Wo pal bhar ki narazgyan or maan b jana pal bhar main

Ab khud se jab b rothun tokuch log boht yad aaty hain.!!!@









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


4





Kisi ko pany ki justuju me Thakan se khud ko nidhal rkhna

Jb us se milna to kuch na kehna Fqt nazr me sawal rkhna



Agr tmhen hy sukun ki khwahshTo srf itna khyal rkhna

Nasib subh-e-uroj ho toNazr me sham-e-zawal rkhna



Ye sardion ki udas raten Or uski yadon ki chandni

Khyal rkhna na bhigen ankhen Zabt-e-gham me kmal rkhna



Jo tera ghm hy wo ghm hy meraTri khushi me meri khushi hy

Jo ho sky to khush hi rhnaMri khushi ka khyal rkhna.









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


5





Khushiyon K Chaar Pal Hi Sada Dhondti Rhi.,

Kya Dhondna Tha Mujh Ko?Main Kya Dhondti Rhi?



Maayosio K Sheher Me Mujh Sa Gareeb,

Lene Ko sans Thori Hawa Dhondti Rhi.



Malom Tha K Meri Nahi Hai Koi KhAta,

Phir B Main Wahan Apni khAta Dhoondti Rahi..



Maaloom Tha K Mujh Ko Nahi Mil Saken Gay Wo,

Phir B Main Sada Unka Pata Dhoondti Rahi..



Phir Yon Hua K Un Say Mulaqaat Ho Gai,,

Phir Umar Bhar Main Apna Pata Dhundti rahi.









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


6





Mausam-E-Qarb-E-Intizaar Bhi Jhoot,

Dil Na Maanay To Wasl-E-Yaar Bhi Jhoot.



Maut Teri Tallab Bhi Laghzish-E-Lab,

Zindagi Tera Aitbaar Bhi Jhoot.



Wusat-E-Dastaan-E-Shouq Ghalat,

Koshish-E-Harf-E-Ikhtasaar Bhi Jhoot.



Sirf Us Ka Safar Hay Sach MOHSIN,

Meri Raah Bhi Mera Ghubaar Bhi Jhoot...!









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


7





Heran hun ye kon sa dstoor-e-wafa hy,

Tu misl-e-rag-e- jaan hy to q mjse juda hy?



Tu ehl-e-nzr hy to nhi tujh ko khabr q?

Pehlu me teray koi zmane se khara hy...



Likha hy mera nam smandar pe hawa ne,

Or dono ki fitrat me skun hy na wafa hy...



Uth'ti hen jo pehlu se meray dard ki lehrain,

By-taab smandar koi seenay men daba hy..



Ay zeest k dozakh se guzarte huay lamho,

Socha hy kbi tm ne k jeena b saza hy..









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


8





Her roz bhula detey ho.. kamaal karte ho..!

Hanstey hue ko rula dete ho.. kamaal karte ho..!



Nahi hay Mohabbat to saaf keh do..!

Kyon ummeed barha detey ho.. kamaal karte ho..!



Hum tumhen bhoolney lagtey hain jab bhi..!

Aa ke pyaar jata detey ho.. kamaal karte ho..!



Jaantey bhi ho k ek hee dya hay merey ghar mein..!

Phir bhi hawa detey ho.. kamaal karte ho..!



Bhoolne ka jo mujhe hr roz kehte ho.!

Yun yaad dila dete ho kmal krte ho









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


9





Mere pagal Piya Meri chahat na kar,

Mujhey dekha na kar Mujha sochaa na kar



Meri Be Khawab Aankhon mein na janka kar,

Mein to khoo jao gi Mujhey na dhoonda kar



Mein hun Bad-e-Saba jo rukti nahi,

Mein hun essi Ghatta jo barasti nahi hai



Mien essi leher hun jiss mein Halchal na ho,

Na tum ko Dabo dey ye lehrein kahein



Mere pagal Piya essi khawaesh na kar,

Mein woh sapna hun jo ke sach na ho



Mein woh Umid hun jo ke adhoori rahey,

Mein woh rasta hun jiski na manzil miley



Mein woh sehraa hun ke jis mein Bhatak jao ge,

Mere pagal Piya esse raste pe na chal



Mein essi kiran hun jo ke be-noor hai,

Mein to woh sep hun jiss mein moti na miley



Mein to woh khooshboo hun jiss ko bikar jana hai,

Mere pagal Piya mera picha na kar










color="#6a98a5">Submitted By Muneer


10





Honton pe sahilon ki tarha tishnagi rahi

Main chup huwa to meri ana cheekh�ti rahi



Ek naam kya likha tere sahil ki rait par

Phir umer bhar hawa se meri dushmani rahi



Sarkoo pe sard raat rahi meri humsafar

Aankho main mere sath thakan jaagti rahi



Yaadon se khelti rahi tanhayi raat bhar

Khushboo k intazaar main shub bheegti rahi



Woh lafz lafz mujh pe utarta raha 'shakeel'

Socho pe us k naam ki takhti lagi rahi









color="#6a98a5">Submitted By Muneer








<<First      

<Previous      

41  
42  
43  
44  
45  
46  
47  
48  
49  
50      

Next>  




Ghazal SMS Page 45



1





Wafa K Rooth Jane Par Ghazal Takhleeq Hoti Hai

Kabhi Sajan Manane par Ghazal Takhleeq Hoti Hai



Main Lafzon K Samundar Mein Mila Deta Hoon Socho Ko

Phir Un Ki Yaad Aane Par Ghazal Takhleeq Hoti Hai



Mere Andar Jo Panchi Qaid Hai Saanson K zindan Mein

Ussi K Pharphrane Par Ghazal Takhleeq Hoti Hai



Chaman Mein Raqs Karti Hai Saba Jab Phool K Aagay

Tou Un K Muskurane Par Ghazal Takhleeq Hoti Hai



Mujhe Aata Nahi Hai Shair Likhna Aik Bhi Lekin

Tumhari Yaad Aane Par Ghazal Takhleeq Hoti Hai









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


2





*Mere Wajood Ko Tu Samait Ly Main Bikhar Raha Hoon Zara Zara*

*Mere Aansoun Ko Bhi Ponch Ly Main Sisak Raha Hoon Zara Zara*



*Meri Chahaton Ko Samajh Kabhi Meri Hasraton Ka Khayal Kar*

*Tere Deedar Ki Ik Aarzu Mein Tarap Raha Hoon Zara Zara*



*Apne Piyar Ka Ek Diya Meri Raah Mein Tou Jala Kabhi*

*Andheri Raat Ka Naag Mujhe Das Raha Hay Zara Zara*



*Aa Dil Pe Mere Hath Rakh Meri Darkhano Ko Qarar Dy*

*Meri Saans Tou Hay Chal Rahi Par Jee Raha Hoon Zara Zara*









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


3





(***WAFA***)



Zindagi rahi to wafa bhi karaingey,,

Tujhe hasil karne ki khata bhi karaingey,,



Zamane ki rokawaton K bawajood bhi,,

Hum aik dosre se mila bhi karaingey,,



Sare jahan me koi nahi tere jesa,,

Dil me bitha ke teri pooja bhi karaingey,,



Zindagi hai tumhari shama ki manind,

Hum parwane ki tarh tum par jala bhi karaingey,



Agar dena parhi is Mohabat me JAAN,

To jaan ka nazrana bhi ada karaingey...?









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


4





Khatm Apni Chahato KaSilsila Kaisy Hua?

Tu To MjhMeJazb ThaMjh Sy Juda Kaisy Hua?



Chubh GayeN Seny Me Tooti Khwahishon Ki Kirchiyan

Kya Likhon Dil Totny Ka Hadsa Kaisy Hua?



Jo Rag-e-Jaan Tha Kbi Milta Hy Ab Rukh Phair Kr

Sochta Hon! Is Qadar Wo 'Bewafa' Kaisy Hua?@









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


5





Ashk Girte hen to har Saans PIGHAL jati hy,

De k ek Dard Naya har Sham DHAL jati hy



Tujhko seene se laga kr boht milta hy Sakun,

Tujhse Bichron to meri Jaan NIKAL jati hy



Ishq kuch aise mitata hy NISHAN-E-HASTI,

Jese k Raat ujale ko NIGAL jati hy



Tu agar Dil pe Mere hath hi Rakh De,

Toot'ti Saans bhi Kuch dair SANBHAL jati hy



Zakhm bharta hi nahi Teri JUDAI ka

Phir Teri YAAD Naya Dard OGAL jati hai...!@









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


6





Ik chand tunha khara rahameray asman se zra pray

Meray sath sath safr main thameri manziloon se zra pray..



Teri justaju k hisaar setere khwabtere khyal se

Main wo shakhs tha jo khara rhateri chahton se zra pray..



Kabi dil ki baat kahi na thiJo kahi to wo b dabi dabi Mere lafaz
pooray to thay mgrteri sma'aton se Zra Pray..



Tu chala gaya meray Humsafar zara dekh mur k tu ik nazar

Meri kashtiyan hain jali huitere sahiloon se zara paray...!









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


7





Tari Mast aankhoon ki hiraasat mein chlayaay hain,

Be_amaan log hifaazat mein chlay aay hain,



Yoon laga ham ko teray dil mein utr kr jaisay,

Baadshah apni riyaasat mein chlay aay hain,



Hm ko is jang k asbaab to maloom nahi,

Hm to bus shoq_e_shahadat mein chaly aay hain.









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


8





Bikharti Rait Per Kis Naqsh Ko Aabad Rakhy Ga,

Woh Mujhko Yaad Rakhy Bhi To Kitna Yaad Rakhy Ga,



Usay Bunyad Rakhni Hay Abhi Dil Men Muhabaat Ki,

Magar Ye Sang Seenay Per Woh Meray Baad Rakhy Ga,



Palat kar bhi na dekhein gay teri ye be rukhi Humdam,

Bhula den gey tujhe aisaK tu bhi yaad rakhe ga.?









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


9





Jab guzar jayegi bahar to kia karogy,

Yad aye ga mera pyar to kia karogy,



Sataty ho aise jaise ajnabi ho ma,

Jab roth gae tumse to kia karogy



Apnao gy kisi or ko mujhe tanha chor kar

Usay hoga na tum se pyar to kia karogy



Akhir lout aao gy tum meri rahon pe

Phir mile ga na pehla sa pyar to kya kroge









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


10





Hijr ki piyas me qatra b buht hota hy.

Deed k wasty lamha b buht hota hy.



Jin k milne ki nhe dor tk koi ummed.

Unke kho jane ka khadsha b buht hota hy.



Wo agr paas nhe hy tu koi baat nhe.

Srif ehsas ka dhoka b buh hota hy.



Jin pe hota hy maan buht gehra.

Wo badal jaen tu sadma b buht hota hy.



Jin ke kho jane pe kho jaty hn hosh o hawas.

Unke mil jane ka nasha b buht hota hy.









color="#6a98a5">Submitted By Muneer









<<First      

<Previous      

41  
42  
43  
44  
45  
46  
47  
48  
49  
50      

Next>  




Ghazal SMS Page 44



1





Yaadon Ka Ek Jhonka Aaya Hum Se Milne Barson Baad

Pehla Itna Roye Nahi Thay Jitna Roye Barson Baad



Lamha Lamha Ghar Ujrra Hai Tau Hum Ko Ehsaas Hua

Pathar Aaye Barson Pehle, Sheeshay Tootay Barson Baad



Aaj Humari Khak Pe Dunya Ronay Dhonay Baithi Hai

Phool Huay Hain Itnay Sastay Janay Kitne Barson Baad



Dastak Ki Umeed Lagaye "Saqi" Kab Tak Jeetay Hum

Kal Ka Wada Karnay Walay Milne Aaye Barson Baad









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


2





Bari Tarap Hai Meri Iltaja K Pardey Mein,

Main Tum Ko Maang Raha Hoon Dua K Pardey Mein



Usey Bhi Dar Hai K Ye Raaz Khul Na Jaye Kahin,

Likhta Hai Naam Mera Wo Hina K Pardey Mein



Main Us K Koochey Se Guzra Tau Ye Mehsoos Hua,

Mujhe Pukara Hai Uss Ne Hawa K Pardey Mein



Ajeeb Tarz-e-Maseehai Uss Ne Dikhai,

Hayyat Meri Badal Di Dua K Pardey Mein



Is Tarah Chehray Ko Zulf Mein Chupaya Us Ne,

Kay Jesay Chaand Chupa Ho Ghata Kay Pardey Mein









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


3





Tere Harf-o-Lab Ka Talism Tha, Meri Aab-o-taab mein Reh Gaya

Wo Kisi Gulaab Ka Jism Tha Jo Meri Kitab Mein Reh Gaya



Meri Baat Baat Mein Roshni Mere Harf Harf Mein Dil-Kashi

Tu Mere Sharek-e-Wisaal-e-Jaan, Meri Her Kitab Mein Reh Gaya



Koi Phool Ban K Bhikar Gaya Koi Baat Ban K Bigar Gaya

Na Sawaal Koi Labon Pe Hai Na Gila Jawab Mein Reh Gaya



Tujhe Kiya Bataen K Kiye Hua Wo Saroor-e-Raqs-e-Wafa Gaya

Na Gunah Mein Rahi Baat Wo Na Maza Sawaab Mein Reh Gaya









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


4





Deepak, Jugnoo, Chaand Sitare Ik Se Haan

Ya'ni Saare Ishq K Maare Ik Se Haan



Hijr Ki Shab mein Dekh Tou Aa K Mere Chaand

Mere Aansoo Aur Ye Tere Ik Se Haan



Meri Kashti Kis Ne Duboi Kiya Maloom

Saari Hehren, Saari Dhare Ik Se Haan



Kuch Apne Aur Kuch Begaane Aur Main Khud

Meri Jaan K Dushman Saare Ik Se Haan



Ab Batlaon Ham Kis Se Faryaad Karen

Qatil, Haakim, Mansaf Saare Ik Se Haan









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


5





==Aaya Na Tujhe Raas Koi Ghar Bhi Qafas Bhi

==Ab Ay Dil-e-Kamzarf Kis Shehar mein Bas Bhi



==Thukra K Jo Aaya Hai Samandar Ki Sakhawat

==Ab Dasht-e-Musafat Mein Ghataaon Ko Taras Bhi



==Main Payas Ka Sehra, K Guzer Gah Hoon Teri

==Tu Abr Ki Surat Hai Kabhi Mujh Pe Baras Bhi



==Mohsin Mujhe Cherain Gay Bohat Chaand,Nadi,Phool

==Aaya Na Mera Yaar Agar Ab K Baras Bhi









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


6





'Dard Kiya Hota Hai Batayen Gay Kisi Roz'

'Kamaal Ki Ghazal Tum Ko Sunayen Gay Kisi Roz'



'Thi Un Ki Zid K Main Jaaon Un Ko Manane'

'Mujh Ko Ye Weham Tha Wo Bulayen Gay Kisi Roz'



'Us RAB Ki Qasam Main Ne Tou Sohca Bhi Nahi Tha'

'Wo Itna Mere Dil Ko Dukhayen Gay Kis Roz'



'Her Roz Aainay Se Yehi Poochta Hoon Main'

'Kiya Rukh Pay Tabassum Bhi Sajayen Gay Kisi Roz'



'Urnay Do In Parindo Ko Aazad Fiza Mein "Faraz"'

'Tumhare Hon Gay Tou Laut Hi Aayen Gay Kisi Roz'









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


7





Lahu Se Dil K Kaghaz Per Koi Tehreer Hoti Hai

Tau Ahl-e-Dil Samajhtay Hain Yehi Taqdeer Hoti Hai



Tujhy Khuwabon Mein Aksar Log Mujhse Cheen Letay Hain

Suna Hai Saarey Khuwabon Ki Ult Taabir Hoti Hai



Yehi Chahat Kisi Ko Taaj Ki Surat Nazar Aaye

Yehi Chahat Kisi K Paaon Ki Zanjeer Hoti Hai



Wafa Ki Jung Talwaron Se Jeeti Ja Nahi Sakti

K Sachai Or Mohabbat Se Hi Wafa Ki Jeet Hoti hai



Suno Ghazlen Be-Sabab Likhi Nahi Jati

K Shaayer K Tassavur Mein Koi Tasveer Hoti Hai









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


8





Jalti Hui Zameen Ko Bachana Para Mujhe

Baadal Ki Tarah Dasht Mein Aana Para Mujhe



Bholay Se Meri Simt Koi Dekhta Na Tha

Chehray Pe Ek Zakhm Lagana Para Mujhe



Us Ajnabi Se Haath Milanay K Waastay

Mehfil Mein Sub Se Haath Milana Para Mujhe



Us Bewafa Ki Yaad Dilata Tha Baar Baar

Kal Aainay Se Haath Uthana Para Mujhe



Wo Kar Nahi Raha Tha Meri Baat Ka Yaqeen

Phir Youn Huwa K Mar K Dikhana Para Mujhe









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


9





Taskeen Na Ho Jis Se Woh Raaz Badal Dalo

Jo Raaz Na Rakh Paye, Hamraaz Badal Dalo



Tum Ne Bhi Suni Hogi Bari Aam Kahawat hai

Anjaam Ka Ho Khatra, Aaghaaz Badal Dalo



Pur-sooz Dilon Ko Jo Muskan Na Day Paye

Sur Hi Na Milay Jis Mein Wo Saaz Badal Dalo



Dushman K Iraadon Ko Hai Zair Agar karna

Tum Khail Wohi Khailo Andaaz Badal Dalo



Ae Dost Karo Himmat Kuch Dour Sawaira Hai

Gar Chahte Ho Manzil Parwaaz Badal Dalo









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


10





**Apne usool youn bhi kabhi torne paray**

**Uski khata thi hath mujhe jorne paray**



**Aya na jab qarar dil-e-beqarar ko**

**Yaadon k rukh tumhari tarf morne paray**



**Usko to meri yaad bhi aai na aik din**

**Apne paraye jis ke liye chorne paray**



**Mohsin wo shakhs khud bara be usool tha**

**Apny usool jis k liye hum torne chalay**









color="#6a98a5">Submitted By Muneer









<<First      

<Previous      

41  
42  
43  
44  
45  
46  
47  
48  
49  
50      

Next>  




Ghazal SMS Page 43



1





Phira Hoon Saray Zamanay Mein Dar'badar Kese

Main Tere Baad Bhi Zinda Raha Magar Kese



Wo Jaanta Hai K Kuch Roz Wo Nahi Tha Tou Main,

Pukaarta Raha Us Ko Idher udher Kese



Main Jis K Hijer Mein Roya Hoon Paaglon Ki Tarha

Wo Kal Mila Tou Mere Haal Pay Hansa Kese



Aziz'ter Thi Jisay Neend Sham-e-Wasal Mein Bhi

Wo Tere Hijer Mein Jaaga Hai Umer Bhar Kese



Kahan Ki Dosti, Kesa Firaaq, Kon Faraz?

Main Khud Tou Bhool Gaya, Tujh Ko Bholoon Kese









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


2





Kuch Na Kehna Chup Chup Rehna, Ye Bhi Ek Udaasi Hai

Hans K Saare Sadme Sehna, Ye Bhi Ek Udaasi Hai



Bethe Bethe Kho Sa Jana, Youn Hi Door Khayalon Mein

Chalte Chalte Hansty Rehna, Ye Bhi Ek Udaasi Hai



Maar K Kankar Lehren Gin'na Beth K Jheel Kinary Per

Kuch Logon Ka Hai Ye Kehna, Ye Bhi Ek Udaasi Hai









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


3





[Parveen Shakir]



Baad Muddat Usey Dekha Logo

Wo Zara Bhi Nahi Badla Logo



Khush Na Tha Mujh Se Bichar Kar Wo B

Uss Kay Chehre Pe Likha Tha Logo



Uss Ki Aankhein B Kehe Deti Theen

Raat Bhar Wo B Na Soya Log



Ajnabi Jo Ban K Guzra hai Abhi

Tha Kisi Waqt Mein Apna Logo



Dosti Tou Khair Koi Kis Ka Hai

Uss Ney Dushman B Na Samjha Logo



Raat Wo Dard mere Dil Mein Utha

Subha Tak Chen Na Aaya Logo



Piyaas Sehraon Ki Phir Tez Hoi

Abr Phir Toot K Barsaa Logo









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


4





Wo Udaas Dhoop Samait Kar, Kahin Wadiyon Mein Chal Diya

Ay Mere Dil Tu Na De Sada, Jo Guzar Gaya So Guzer Gaya



Ye Safar Kitna Taveel Hai, Yahan Waqt Kitna Qaleel Hai

Kahan Loat Kar Koi Aaye Ga, Jo Guzar So Guzar Gaya



Wo Wafaein Thee'n Ya Jafaein Thee'n, Ya Na Soch Kis Ki Khataein Thee'n

Jo Tera Hai Us Ko Galay Laga, Jo Guzar Gaya So Guzar Gaya



Ye Dunya Aik Fareb Hai, Yahan Koi Kisi Ka Apna Nahi

Ye Ujaar Mehlon Ki Sun Sada, Jo Guzar So Guzar Gaya









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


5





Mere Shehar Mein Ik Raat Basar Kar K Dekhna

Mere ird Gird K Logon Se Mil Kar Dekhna



Tere Baghair Hum Kis Tarha Jee Rahay Hain

Zara In Logon Se Poch Kar Dekhna



Jo Jaan Na Chaho K Hum Kitne Udaas Hain

To Sard Raaton K Tanha Chaand Ko Dekhna



Hum Sa Na Koi Tum Ko Mile Ga

Ek Baar Saari Dunya Ghoom Kar Dekhna



Tum Ko Hamari Hi Sada Aaye Gi

Apne Seeney Pe Haath Rakh K Dekhna



Kuch Aur Hota To Wo Bhi Tumhein De Detey

Ek Jaan Hai Kisi Roz Maang Kar Dekhna









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


6





Woh kisi or ka hoga to Qayamat ho gi,

Phir kisi ko bhi kisi se na mohabbat ho gi,



Usey dekhay koi acha nahi lagta mujh ko,

Us se barh kr bhi koi or muhabbat ho gi,



Raat kal chaand ko dekha to ye ehsaas hua,

Woh akela hai usey meri zarurat ho gi,



Ay "KHUDA" us ko kisi Or ka honey na dena,

Zindagi bhar mujhy phir khud say shikayat ho gi:-









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


7





Us Ada Se Bhi Hoon Aashna, Tujhe Itna Jis Pe Gharoor Hai

Main Jiyon Ga Tere Baghair Bhi, Mujhe Zindagi Ka Shaoor Hai



Na Hawas Mujh Mein Janaab Ki, Na Talab Saba-O-Shabab Ki

Tere Chashm-E-Naaz Ki Khair Ho, Mujhe Bin Piye Hi Saroor Hai



Jo Samajh Loon Tujhe Bewafa, Tou Es Mein Teri Hai Kia Khata

Ye Khalal Hai Mere Dimagh Ka, Ye Meri Nazar Ka Qasoor Hai



Main Nikal K Tere Naam Se, Na Giroon Ga Apne Maqaam Se

Main Qateel-E-Ishq-E-Sitam Sahi, Mujhe Tum Se Ishq Zaroor Hai









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


8





Tujhe Naaz Hai Main Haseen Hoon, Mere Gulistan Ko Zawal Kiya

Mujhe Fakhar Hai K Main Ishq Hoon, Jo Jala Na Doon Tou Kamal Kiya



Mujhe Zindagi Ki Dua Na De, Mujhe Zindagi Ki Talab Nahi

Meri Mout Ko Jo Taal De, Is Zindagi Ki Majaal Kiya



Humein Manziloon Ki Khabar Nahi, Humein Raah Guzer Ki Talash hai

Is Tarah Guzer Pe Nikal Pare Tou Urooj Kiya Zawal kiya



Tere Pyaar Mein Shikwe Gilay, Teri In Adaaon Pe Mar Chale

Jo Hayat Thi Tujhe Waar Di, Tou Jawab Kiya Or Sawal Kiya









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


9





*Parveen Shakir*



Hoon Tou Khafa Us Se, Par Jaane Phir Bhi Kyun

Na Chaah kar Bhi Us Ko Chaahna Acha Lagta Hai



Haqeeqat Se Hoon Door, Ye Mujh Ko Hai Pata

Par Jaan K Anjaan Rehna Acha Lagta Hai



Qaayil Nahi Main Rony Ki Phir Bhi Kabhi Kabhi

Tanhai Mein Kuch Dair Rona Acha Lagta Hai



Wo Mera Tha, Wo Mera Hai, Wo Mera Rahay Ga

Kuch Pal Is Khuwab Mein Khona Acha Lagta Hai









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


10





[Koi Kiya Janey]



Mosam-E-Hijr K Lamhaat "Koi Kiya Janey"

Kiya Guzerti Hai Mere Saath "Koi Kiya Janey"



Dooriyon Mein Bhi Tere Saath Marasim Hain Wahi

Roz Hoti Hai Mulaqaat "Koi Kiya Janey"



Log Hansti Hoi Aankhon Pe Yaqeen Rakhte Hein

Mere Aansoo, Mere Jazbaat "Koi Kiya Janey"



Aik Tu Hai Jisey Maloom Hein Saari Baaten

Shab-E-Hijran Mere Halaat "Koi Kiya Janey"



Koi Kiya Janey K Khamoshiyan Kiya Kehti Hein

Teri Aankhon K Sawalaat "Koi Kiya Janey"









color="#6a98a5">Submitted By Muneer









<<First      

<Previous      

41  
42  
43  
44  
45  
46  
47  
48  
49  
50      

Next>  




Ghazal SMS Page 42



1





Mosam-E-Gul Mein Koi Zakhm-E- Judai De Ga,

Dil Ko Phir Kon Khizan Rut Se Rehai De Ga,



Jane Kis Rah Pe Le Jaye Ye Wehshat Dil Ki,

Tujh Se Bichra To Mujhe Kuch Na Sujhai De Ga,



Or Kuch Dair Ye Rounaq Hai Sar-E-Bazam,

Phir To Her Koi Gham-E-Dil Ki Duhai De Ga,



Ab Yehi Khowab Ganimat Hai K Tu Paas To Hai,

Bujhti Aankhon Ko Na Kal Kuch Bhi Dikhai De Ga,



Har Kisi Dar Pe Gham-E-Jaan Ki Tasheer Na Kar,

Ab Shifa Tujh Ko Wohi Dast-E-Hinaai De ga..









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


2





Meri Aarzoo Hai Tujh Ko Mile Humsafar Koi Aisa

Teray Faasle Samaite, Tujhe Dhoop Se Bachaye



Ye Udaasiyon Ki Shaamein Jo Guzar Sakein Na Tanha

Tera Paas Aa K Bathey, Tujhe Rotay Mein Hansaye


Kabhi Bhool Kar Bhi Tujhko Jo Koi Yaad Aana Chahey

Tujhe Itna Pyaar De K Tujhe Yaad Kuch Na Aaye



Jab Bhi Tum Maango KHUDA Se Apne Liye Kuch Khaas

KHUDA Kare Tere Labon Pe Bus Mera Hi Naam Aaye









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


3





Kab Lout K Aao Ge Bata Kyun Nahi Detay

Deewar Bahano Ki Gira Kyun Nahi Detay



Tum Paas Ho Mere Tou Pata Kyun Nahi Chalta

Tum Door Ho Mujh Se Tou Sada Kyun Nahi Detay



Ek Tery Siva Aur Kisi Ko Bhi Na Chaha

Ye Baat Zamanay Ko Bata Kyun Nahi Detay



Bahaar Ki Hawaon Ka Agar Khauf Hai Itna

Jo Roshni Andar Hai Bujha Kyun Nahi Detay



Raaton Ko Jaagnay Ki Saza Detay Ho Aksar

Tum Hum Ko Wafaon Ka Sila Kyun Nahi Detay









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


4





Raat Din Hijr Ki Wehshat B Nahi Rakhni Hai

Kisi Se Ab Itni Mohabbat B Nahi Rakhni Hai



Jis Ka Jee Chahe Hamein Torr K Tukray Kar De

Is Qadar Narm Tabiyat B Nahi Rakhni Hai



Ek Do Saal K Rishton Se Hamein Kya Haasil

Ek Do Pal Ki Rafaqat B Nahi Rakhni Hai



Jin Se Bichrain To Sambhalne Mein Zamane Lag Jatein

Aisey Logon Se Murawat B Nahi Rakhni Hai



Kiya Ajab Haal Hai Chahat K Talabgaron Ka

Show Bikne Ka Hai, Qeemat B Nahi Rakhni Hai









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


5





Yaar Bhi Raah Ki Dewaar Samajte Hain Mujhy

Main Samajta Tha Mere Yaar Samajte Hain Mujhy



Main Tou You Chup Hoon K Ander Se Bohat Khali Hoon

Aur Sub Log Pur-Israr Samajte Hain Mujhy



Main Tou Badalty Huay Halaat Mein Dhal Jata Hoon

Dekhne Walay Adakaar Samajte Hain Mujhy



Wo Jo Us Paar Hain Un K Liye Is Paar Hoon Main

Wo Jo Is Paar Hain Us Paar Samajte Hain Mujhy



Naik Logon Mein Mujhy Naik Gina Jata Hay

Aur Gunehgaar, Gunehgaar Samajte Hain Mujhy









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


6





Zamana Dost Ho Jaey To Bohat Mohtaat Ho Jana

K Is K Rang Bdalnay Mein Zara C Dair Lagti Hai



Koi Jo Khwaab Dekho To Ussey Foran Bhulla Dena

K Neenden Toot Janey Mein Zara C Dair Lagti Hai



Kisi Ko Dukh Kabhi Dena To Itna Soch Kar Dena

Kisi Ki Aah Lagney Mein Zara C Dair Lagti Hai



Bohut Hi Mo'tabar Hain Jin Ko Muhabbat Raas Aa Jaey

Kisi Ko Raah Badalney Mein Zara C Dair Lagti Hai









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


7





Kab Tak Raho Gey Aakhir You Door Door Hum Se

Milna Parey Ga Aakhir Ek Din Zaror Hum Se



Daaman Bachaney Waley Ye Be-Rukhi Hai Kesi

Keh Do Agar Huwa Hai Koi Qasoor Hum Se



Hum Cheen Len Gey Tum Se Ye Shan-E-Benyazi

Tum Maangte Phiro Gey Apna Gharoor Hum Se



Hum Chor Den Gey Tum Se You Baat Cheet Karna

Tum Poochte Phiro Gey Apna Qasoor Hum Se









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


8





Saaray Wadun Ko Bhula Sakta Hoon Lekin Choro

Main Tumhein Chorr K Ja Sakta Hoon Lekin Choro



Tum Jo Har Morr Pe Keh Detay Ho Khuda Hafiz

Faisla Main Suna Sakta Hoon Lekin Choro



Yeh Jo Tumhein Show Hai Naye Chehron Ki Deed Ka

Naye Dost Main Bhi Bana Sakta Hoon Lekin Choro



Gharoor Agar Tum Ko Hain Apne Husn Pe

To Kamal Main Bhi Dikha Sakta Hoon Lekin Choro



Ye Jo Tumhein Maan Hai K Meri Zindagi Tum Ho

Isay Khaak Mein Mila Sakta Hoon Lekin Choro









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


9





Mohabbat Ki Kahani Mein Koi Tarmeem Mat Karna

Mujhy Tum Torr Dena Per Mujhy Taqseem Mat Karna



Bhalay Tum Chorr Kar Jaao Mera Dil Torr Kar Jaao

Faqat Khud Ko Meray Dil Se Kabhi Tum Door Mat Karna



Teray Dil Ki Tamana Hai Mujhy hi Aazmanay Ki

Mujhy Tum Aazma Lena Meri Chaahat Bhula Dena



Agar Main Yaad Aaon Tou Sirf Itni Hi Khuwahish Hai

Mujhy Jesay Giraya Hai Youn Chand Aansoo Gira Dena



Mohabbat Ki Kahani Mein Koi Tarmeem Mat Karna









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


10





Ek Chehra Jo Mere Khuwaab Sajaa Deta Hai

Mujh Ko Mere Hi Khayalon Mein Sadaa Deta Hai



Wo Mera Kon Hai Maloom Nahi Hai Lekin,

Jab Bhi Milta Hai Tou Pehlu Mein Jagaa Deta Hai



Main Jo Ander Sy Kabhi Toot K Bikhroon,

Tou Wohi Mujh Ko Chun'ney K Liye Haath Barhaa Deta Hai



Main Jo Tanha Kabhi Chupkay Sy Bhi Rona Chahon,

Tou Dil K Darwazay Ki Zanjeer Hilaa Deta Hai



Uski Qurbat Mein Hai Kya Baat Na'janay Yaro,

Ek Lamhay K Liye Sadiyon Ko Bhula Deta Hai









color="#6a98a5">Submitted By Muneer









<<First      

<Previous      

41  
42  
43  
44  
45  
46  
47  
48  
49  
50      

Next>