Wednesday 28 July 2010

Ghazal SMS Page 46



1





Faqat Itni Guzarish Thi,Mujhe Kuch Roshni Dena

Tumhe Kis Ne Kaha Tha Ye Meri Basti Jala Dena?



Jisey Barish K Pani Mein Baha Kr Muskratey They

Mujhe Kaghaz Ki Wo KashtiZra Phr Se Bna Dena



Tmhara Rasta Phr Umr Bhr Tkney Se Acha Hai

K Tm Janey Se Kuch Pehley Meri Aankhen Bujha Dena...









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


2





Tere ishq ne bakhshi hy ye soghat musalsal,

Tera zikar hamesha teri baat musalsal,



Ek muddat hoi tere baam o dar se nikle,

Rehti hy phir b tujh se mulaqat musalsal,



Dil lagi,Dil ki lagi ban jati hy,

Jab tasawwur me guzarti hy raat musalsal,



Jab se dekha zulf e preshan ka aalam,

Uljhay howe rehte hain mere din raat musalsal,


Main muhabbat me is muqam pe puhncha hun jahan,

Meri zaat me rehti hy teri zaat musalsal.









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


3





Jab yad ka qissa kholun to..kuch log boht yad aate hain.

Main guzre pal jo sochon to..kuch log boht yad aate hain.



Ab janay konsi nagri me abad hain jakar muddat se..

Me rat gae tak jagoon to..kuch log bht yad aate hain.



Kuch batein thi phulon jesikuch lehjay khushbo jesy thy..

Me sheher-e-chaman me tehloon to...kuch log bot yad aty hain.



Wo pal bhar ki narazgyan or maan b jana pal bhar main

Ab khud se jab b rothun tokuch log boht yad aaty hain.!!!@









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


4





Kisi ko pany ki justuju me Thakan se khud ko nidhal rkhna

Jb us se milna to kuch na kehna Fqt nazr me sawal rkhna



Agr tmhen hy sukun ki khwahshTo srf itna khyal rkhna

Nasib subh-e-uroj ho toNazr me sham-e-zawal rkhna



Ye sardion ki udas raten Or uski yadon ki chandni

Khyal rkhna na bhigen ankhen Zabt-e-gham me kmal rkhna



Jo tera ghm hy wo ghm hy meraTri khushi me meri khushi hy

Jo ho sky to khush hi rhnaMri khushi ka khyal rkhna.









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


5





Khushiyon K Chaar Pal Hi Sada Dhondti Rhi.,

Kya Dhondna Tha Mujh Ko?Main Kya Dhondti Rhi?



Maayosio K Sheher Me Mujh Sa Gareeb,

Lene Ko sans Thori Hawa Dhondti Rhi.



Malom Tha K Meri Nahi Hai Koi KhAta,

Phir B Main Wahan Apni khAta Dhoondti Rahi..



Maaloom Tha K Mujh Ko Nahi Mil Saken Gay Wo,

Phir B Main Sada Unka Pata Dhoondti Rahi..



Phir Yon Hua K Un Say Mulaqaat Ho Gai,,

Phir Umar Bhar Main Apna Pata Dhundti rahi.









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


6





Mausam-E-Qarb-E-Intizaar Bhi Jhoot,

Dil Na Maanay To Wasl-E-Yaar Bhi Jhoot.



Maut Teri Tallab Bhi Laghzish-E-Lab,

Zindagi Tera Aitbaar Bhi Jhoot.



Wusat-E-Dastaan-E-Shouq Ghalat,

Koshish-E-Harf-E-Ikhtasaar Bhi Jhoot.



Sirf Us Ka Safar Hay Sach MOHSIN,

Meri Raah Bhi Mera Ghubaar Bhi Jhoot...!









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


7





Heran hun ye kon sa dstoor-e-wafa hy,

Tu misl-e-rag-e- jaan hy to q mjse juda hy?



Tu ehl-e-nzr hy to nhi tujh ko khabr q?

Pehlu me teray koi zmane se khara hy...



Likha hy mera nam smandar pe hawa ne,

Or dono ki fitrat me skun hy na wafa hy...



Uth'ti hen jo pehlu se meray dard ki lehrain,

By-taab smandar koi seenay men daba hy..



Ay zeest k dozakh se guzarte huay lamho,

Socha hy kbi tm ne k jeena b saza hy..









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


8





Her roz bhula detey ho.. kamaal karte ho..!

Hanstey hue ko rula dete ho.. kamaal karte ho..!



Nahi hay Mohabbat to saaf keh do..!

Kyon ummeed barha detey ho.. kamaal karte ho..!



Hum tumhen bhoolney lagtey hain jab bhi..!

Aa ke pyaar jata detey ho.. kamaal karte ho..!



Jaantey bhi ho k ek hee dya hay merey ghar mein..!

Phir bhi hawa detey ho.. kamaal karte ho..!



Bhoolne ka jo mujhe hr roz kehte ho.!

Yun yaad dila dete ho kmal krte ho









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


9





Mere pagal Piya Meri chahat na kar,

Mujhey dekha na kar Mujha sochaa na kar



Meri Be Khawab Aankhon mein na janka kar,

Mein to khoo jao gi Mujhey na dhoonda kar



Mein hun Bad-e-Saba jo rukti nahi,

Mein hun essi Ghatta jo barasti nahi hai



Mien essi leher hun jiss mein Halchal na ho,

Na tum ko Dabo dey ye lehrein kahein



Mere pagal Piya essi khawaesh na kar,

Mein woh sapna hun jo ke sach na ho



Mein woh Umid hun jo ke adhoori rahey,

Mein woh rasta hun jiski na manzil miley



Mein woh sehraa hun ke jis mein Bhatak jao ge,

Mere pagal Piya esse raste pe na chal



Mein essi kiran hun jo ke be-noor hai,

Mein to woh sep hun jiss mein moti na miley



Mein to woh khooshboo hun jiss ko bikar jana hai,

Mere pagal Piya mera picha na kar










color="#6a98a5">Submitted By Muneer


10





Honton pe sahilon ki tarha tishnagi rahi

Main chup huwa to meri ana cheekh�ti rahi



Ek naam kya likha tere sahil ki rait par

Phir umer bhar hawa se meri dushmani rahi



Sarkoo pe sard raat rahi meri humsafar

Aankho main mere sath thakan jaagti rahi



Yaadon se khelti rahi tanhayi raat bhar

Khushboo k intazaar main shub bheegti rahi



Woh lafz lafz mujh pe utarta raha 'shakeel'

Socho pe us k naam ki takhti lagi rahi









color="#6a98a5">Submitted By Muneer








<<First      

<Previous      

41  
42  
43  
44  
45  
46  
47  
48  
49  
50      

Next>  




No comments:

Post a Comment