Monday 21 January 2013

Parveen Shakir: Rukane kaa samay guzar gayaa hai

Parveen Shakir 
was a legendary female poet who started her professional career in her childhood. Her first book was �Khushbu�. Then she came up with other books named Sad-Barg, Khud�kalaami, and Inkar. Sadly, she died in a car accident while she was going to work in 1994.
We are always willing to add more and more poetry of her.



rukane kaa samay guzar gayaa hai


rukane kaa samay guzar gayaa hai 
jaanaa teraa ab Thahar gayaa hai 

ruKhsat kii ghadii khadii hai sar par 
dil ko_ii do-niim kar gayaa hai 

maatam kii fazaa hai shahar-e-dil mein 
mujh mein ko_ii shaKhs mar gayaa hai 

bujhane ko hai phir se chashm-e-nargis 
phir Khvaab-e-sabaa bikhar gayaa hai 

bas ik nigaah kii thii us ne 
saaraa cheharaa nikhar gayaa hai 






No comments:

Post a Comment