Wednesday, 28 July 2010

Ghazal SMS Page 45



1





Wafa K Rooth Jane Par Ghazal Takhleeq Hoti Hai

Kabhi Sajan Manane par Ghazal Takhleeq Hoti Hai



Main Lafzon K Samundar Mein Mila Deta Hoon Socho Ko

Phir Un Ki Yaad Aane Par Ghazal Takhleeq Hoti Hai



Mere Andar Jo Panchi Qaid Hai Saanson K zindan Mein

Ussi K Pharphrane Par Ghazal Takhleeq Hoti Hai



Chaman Mein Raqs Karti Hai Saba Jab Phool K Aagay

Tou Un K Muskurane Par Ghazal Takhleeq Hoti Hai



Mujhe Aata Nahi Hai Shair Likhna Aik Bhi Lekin

Tumhari Yaad Aane Par Ghazal Takhleeq Hoti Hai









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


2





*Mere Wajood Ko Tu Samait Ly Main Bikhar Raha Hoon Zara Zara*

*Mere Aansoun Ko Bhi Ponch Ly Main Sisak Raha Hoon Zara Zara*



*Meri Chahaton Ko Samajh Kabhi Meri Hasraton Ka Khayal Kar*

*Tere Deedar Ki Ik Aarzu Mein Tarap Raha Hoon Zara Zara*



*Apne Piyar Ka Ek Diya Meri Raah Mein Tou Jala Kabhi*

*Andheri Raat Ka Naag Mujhe Das Raha Hay Zara Zara*



*Aa Dil Pe Mere Hath Rakh Meri Darkhano Ko Qarar Dy*

*Meri Saans Tou Hay Chal Rahi Par Jee Raha Hoon Zara Zara*









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


3





(***WAFA***)



Zindagi rahi to wafa bhi karaingey,,

Tujhe hasil karne ki khata bhi karaingey,,



Zamane ki rokawaton K bawajood bhi,,

Hum aik dosre se mila bhi karaingey,,



Sare jahan me koi nahi tere jesa,,

Dil me bitha ke teri pooja bhi karaingey,,



Zindagi hai tumhari shama ki manind,

Hum parwane ki tarh tum par jala bhi karaingey,



Agar dena parhi is Mohabat me JAAN,

To jaan ka nazrana bhi ada karaingey...?









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


4





Khatm Apni Chahato KaSilsila Kaisy Hua?

Tu To MjhMeJazb ThaMjh Sy Juda Kaisy Hua?



Chubh GayeN Seny Me Tooti Khwahishon Ki Kirchiyan

Kya Likhon Dil Totny Ka Hadsa Kaisy Hua?



Jo Rag-e-Jaan Tha Kbi Milta Hy Ab Rukh Phair Kr

Sochta Hon! Is Qadar Wo 'Bewafa' Kaisy Hua?@









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


5





Ashk Girte hen to har Saans PIGHAL jati hy,

De k ek Dard Naya har Sham DHAL jati hy



Tujhko seene se laga kr boht milta hy Sakun,

Tujhse Bichron to meri Jaan NIKAL jati hy



Ishq kuch aise mitata hy NISHAN-E-HASTI,

Jese k Raat ujale ko NIGAL jati hy



Tu agar Dil pe Mere hath hi Rakh De,

Toot'ti Saans bhi Kuch dair SANBHAL jati hy



Zakhm bharta hi nahi Teri JUDAI ka

Phir Teri YAAD Naya Dard OGAL jati hai...!@









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


6





Ik chand tunha khara rahameray asman se zra pray

Meray sath sath safr main thameri manziloon se zra pray..



Teri justaju k hisaar setere khwabtere khyal se

Main wo shakhs tha jo khara rhateri chahton se zra pray..



Kabi dil ki baat kahi na thiJo kahi to wo b dabi dabi Mere lafaz
pooray to thay mgrteri sma'aton se Zra Pray..



Tu chala gaya meray Humsafar zara dekh mur k tu ik nazar

Meri kashtiyan hain jali huitere sahiloon se zara paray...!









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


7





Tari Mast aankhoon ki hiraasat mein chlayaay hain,

Be_amaan log hifaazat mein chlay aay hain,



Yoon laga ham ko teray dil mein utr kr jaisay,

Baadshah apni riyaasat mein chlay aay hain,



Hm ko is jang k asbaab to maloom nahi,

Hm to bus shoq_e_shahadat mein chaly aay hain.









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


8





Bikharti Rait Per Kis Naqsh Ko Aabad Rakhy Ga,

Woh Mujhko Yaad Rakhy Bhi To Kitna Yaad Rakhy Ga,



Usay Bunyad Rakhni Hay Abhi Dil Men Muhabaat Ki,

Magar Ye Sang Seenay Per Woh Meray Baad Rakhy Ga,



Palat kar bhi na dekhein gay teri ye be rukhi Humdam,

Bhula den gey tujhe aisaK tu bhi yaad rakhe ga.?









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


9





Jab guzar jayegi bahar to kia karogy,

Yad aye ga mera pyar to kia karogy,



Sataty ho aise jaise ajnabi ho ma,

Jab roth gae tumse to kia karogy



Apnao gy kisi or ko mujhe tanha chor kar

Usay hoga na tum se pyar to kia karogy



Akhir lout aao gy tum meri rahon pe

Phir mile ga na pehla sa pyar to kya kroge









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


10





Hijr ki piyas me qatra b buht hota hy.

Deed k wasty lamha b buht hota hy.



Jin k milne ki nhe dor tk koi ummed.

Unke kho jane ka khadsha b buht hota hy.



Wo agr paas nhe hy tu koi baat nhe.

Srif ehsas ka dhoka b buh hota hy.



Jin pe hota hy maan buht gehra.

Wo badal jaen tu sadma b buht hota hy.



Jin ke kho jane pe kho jaty hn hosh o hawas.

Unke mil jane ka nasha b buht hota hy.









color="#6a98a5">Submitted By Muneer









<<First      

<Previous      

41  
42  
43  
44  
45  
46  
47  
48  
49  
50      

Next>  




No comments:

Post a Comment