Wednesday, 28 July 2010

Ghazal SMS Page 41



1





Dekha palat k us ne k hasrat usay bhi thi

Hum jis par mit gaye thay muhabbat usay bhi thi



Chupa ho gaya tha dekh kar wo bhi idher udher

Dunya se meri tarah shikayat usay bhi thi



Ye soch kar andheray galay se laga liye

Raaton ko jaagnay ki aadat usay bhi thi



Wo ro dia the mujh ko preshan dekh kar

us din khula k meri zarorat usay bhi thi



Un patharon k saath nibhaani pari usay

Jis se faqat mujhy nahi nafrat, usay bhi thi









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


2





Uski chahat me hum zamana bhool gaye,

Uske baad kisi ko apnaanaa bhool gaye



Phir laga sara jahan weerana hum ko,

Jese chaman me phool meheknaa bhool gaye



Us se mohabbat hai bataye saare jahan ko,

Yehi baat un ko batana bhool gaye



Hum ne mita diya jahan bhi likha tha naam uska,

Magar apne dil se mitana bhool gaye



Wo juda huway hum se muskurate huway,

Magar hum apni palkon se aansoo hatana bhool gaye









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


3





Kabhi shama kabhi aanchal ka kinara dena

Main agar doob k ubhron to sahara dena



Teri ulfat mein mukamal hoon har pehlu se

Mujhe dard bhi dena tou sara dena



Main tujhe ghum k samandar mein kinara doonga

Tu mujhe hijr k toofaan mein sitara dena



Main teri yaad k sehra mein kahin rehta hoon

Kabhi aana tou halka sa ishara dena









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


4





Jo karte hain Muhabbat wo kabhi Staya nahi karte,

Daity hain Jaan magar Aazmaya nahi karte



Her Haal mein rakhte hain Muhabbat ka Bharam,

Kisi ke kehne pe chor jaya nahi karte



Ik baar jo kar laite hain Wada Aanay ka,

Sholon pe chal ke Aatey hain Ghabraya nahi karte



Hum to hain Wafa ke Aadi jo kehte hain ker guzarty hain,

Wada kar ke Dost phir bhol jaya nahi karte



Zindagi mein ik baar karte hain Muhabbat,

Mosam ki tarah hum Badal jaya nahi karte









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


5





Dil ki taak pe diya jalany Aaoun Ga

Main tum ko kuch yaad dilaany Aaoun Ga



Mery dard ko tum bhi na seh pao Gay

Apny Aansu'on se tumhe rulany Aaoun Ga



Shouq bohut tha jin galiyon mein basnay Ka

Wahin pe ik din khaak uraany Aaoun Ga



Mery tum se kaisy kaisy rishty hain,

Tum ko ik baar or batany Aaoun Ga



Bhuj bhi jayain Gi ye Saansain phir bhi main

Roz tumhary naaz uthaany Aaoun Ga



Jeetny duonga tumhe her baazi or phir

Apni haar ka jashan manany Aaoun Ga









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


6





Wo "shakhs" mujhe pyara hai usey kehna,

Wohi jeeny ka sahara hai usey kehna



Log pyare hain bohat se mujhko,

Wo sab se pyara hai usey kehna



Muhabbaten, shikayaten, adawaten us ki,

Mujhe sab gwara hain usey kehna



Chahney waley aur bhi hain lekin,

Ye "dil" sirf tumhara hai usey kehna









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


7





Naye kapray badal kar jaon kahan, aur baal bnaon kis k liye

Wo shakhs tou shehar hi chor gaya, main bahir jaon kis k liye



Wo shehar mein tha tou us k liye auron se bhi milna parhta tha

Ab aisay wesay logon k main naaz uthaaon kis k liye



Jis dhoop ki dil mein thandak thi wo dhoop us k saath gayi

In jalti balti galiyon mein ab khaak uraaon kis k liye



Is shehar mein us ka badal nahi, koi wesa jaan-e-ghazal nahi

Aewaan-e-ghazal mein lafzon k, guldaan sajaon kis k liye



Mudat se koi aaya na gaya, sunsaan pari hay ghar ki faza

In khaali kamron mein 'Nasir' ab shama jalaon kis k liye









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


8





Mere jaan-o-dil mere humsafar,

Koi baat kar koi baat kar

Tery lab hilein tou katay safar,

koi baat kar koi baat kar



Koi bojh hay tou utaar day,

Koi khouf hay tou nikaal day

Mera haath hay tere haath par,

Koi baat kar koi baat kar



Nahi yaad kitnay baras gaye,

Teri guftagu ko taras gaye

Meri khirkiyan mere baam-o-dar,

Koi baat kar koi baat kar



Tujhy chup kesi lagi hui,

Abhi umer tou hay parri hui

Abhi muskura abhi ghum na kar,

Koi baat kar koi baat kar









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


9





Yaad Aayen Ge Zamane Ko Misaalon K Liye..

Jese Boosida Kitaben Hon Hawalon K Liye..



Dekh Yun Waqt Ki Dehliz Se Takra K Na Gir..

Rastay Band Nahi Sochne Walon K Liye..



Saal'ha Saal Aqidat Se Khula Rehta Hay..

Mufarid Raahon Ka Aagosh Jiyaalon K Liye..



Raat Ka Dard Hay Gulbaag Sahar Ka Khaaliq..

Piyar Ka Dard Hay Ye Geet Ujaalon K Liye..



Shab-e-Furqat Mein Sulagti Hui Yaadon K Siwa..

Aur Kia Rakha Hay Hum Chahne Walon K Liye..?









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


10





'Noshi Gilani'



Aankhein B Wuhi Hain To Dareecha B Wuhi Hai

Or Soch K Aangan Mein Utarta B Wuhi Hai



Jis Ne Meray Jazbon Ki Sadaqat Ko Na Jana

Ab Meri Rafaqat Ko Trasta B Wuhi Hai



Is Dil K Khraabay Se Guzar Kis Ka Huwa Hai

Aankhen B Wuhi, Hont B, Lehja B wuhu Hai



Jo Kuch B Kaha Tha Meri Tanhai Ne Tujh Se

Is Shehar Ki Deewar Pe Likha B Wuhi Hai



Wo Jis Ne Diay Mujh Ko Mohabbat K Khazanay

Baadal Ki Trah Aankh Se Barsa B Wuhu Hai









color="#6a98a5">Submitted By Muneer









<<First      

<Previous      

41  
42  
43  
44  
45  
46  
47  
48  
49  
50      

Next>  





No comments:

Post a Comment