Wednesday, 28 July 2010

Ghazal SMS Page 43



1





Phira Hoon Saray Zamanay Mein Dar'badar Kese

Main Tere Baad Bhi Zinda Raha Magar Kese



Wo Jaanta Hai K Kuch Roz Wo Nahi Tha Tou Main,

Pukaarta Raha Us Ko Idher udher Kese



Main Jis K Hijer Mein Roya Hoon Paaglon Ki Tarha

Wo Kal Mila Tou Mere Haal Pay Hansa Kese



Aziz'ter Thi Jisay Neend Sham-e-Wasal Mein Bhi

Wo Tere Hijer Mein Jaaga Hai Umer Bhar Kese



Kahan Ki Dosti, Kesa Firaaq, Kon Faraz?

Main Khud Tou Bhool Gaya, Tujh Ko Bholoon Kese









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


2





Kuch Na Kehna Chup Chup Rehna, Ye Bhi Ek Udaasi Hai

Hans K Saare Sadme Sehna, Ye Bhi Ek Udaasi Hai



Bethe Bethe Kho Sa Jana, Youn Hi Door Khayalon Mein

Chalte Chalte Hansty Rehna, Ye Bhi Ek Udaasi Hai



Maar K Kankar Lehren Gin'na Beth K Jheel Kinary Per

Kuch Logon Ka Hai Ye Kehna, Ye Bhi Ek Udaasi Hai









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


3





[Parveen Shakir]



Baad Muddat Usey Dekha Logo

Wo Zara Bhi Nahi Badla Logo



Khush Na Tha Mujh Se Bichar Kar Wo B

Uss Kay Chehre Pe Likha Tha Logo



Uss Ki Aankhein B Kehe Deti Theen

Raat Bhar Wo B Na Soya Log



Ajnabi Jo Ban K Guzra hai Abhi

Tha Kisi Waqt Mein Apna Logo



Dosti Tou Khair Koi Kis Ka Hai

Uss Ney Dushman B Na Samjha Logo



Raat Wo Dard mere Dil Mein Utha

Subha Tak Chen Na Aaya Logo



Piyaas Sehraon Ki Phir Tez Hoi

Abr Phir Toot K Barsaa Logo









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


4





Wo Udaas Dhoop Samait Kar, Kahin Wadiyon Mein Chal Diya

Ay Mere Dil Tu Na De Sada, Jo Guzar Gaya So Guzer Gaya



Ye Safar Kitna Taveel Hai, Yahan Waqt Kitna Qaleel Hai

Kahan Loat Kar Koi Aaye Ga, Jo Guzar So Guzar Gaya



Wo Wafaein Thee'n Ya Jafaein Thee'n, Ya Na Soch Kis Ki Khataein Thee'n

Jo Tera Hai Us Ko Galay Laga, Jo Guzar Gaya So Guzar Gaya



Ye Dunya Aik Fareb Hai, Yahan Koi Kisi Ka Apna Nahi

Ye Ujaar Mehlon Ki Sun Sada, Jo Guzar So Guzar Gaya









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


5





Mere Shehar Mein Ik Raat Basar Kar K Dekhna

Mere ird Gird K Logon Se Mil Kar Dekhna



Tere Baghair Hum Kis Tarha Jee Rahay Hain

Zara In Logon Se Poch Kar Dekhna



Jo Jaan Na Chaho K Hum Kitne Udaas Hain

To Sard Raaton K Tanha Chaand Ko Dekhna



Hum Sa Na Koi Tum Ko Mile Ga

Ek Baar Saari Dunya Ghoom Kar Dekhna



Tum Ko Hamari Hi Sada Aaye Gi

Apne Seeney Pe Haath Rakh K Dekhna



Kuch Aur Hota To Wo Bhi Tumhein De Detey

Ek Jaan Hai Kisi Roz Maang Kar Dekhna









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


6





Woh kisi or ka hoga to Qayamat ho gi,

Phir kisi ko bhi kisi se na mohabbat ho gi,



Usey dekhay koi acha nahi lagta mujh ko,

Us se barh kr bhi koi or muhabbat ho gi,



Raat kal chaand ko dekha to ye ehsaas hua,

Woh akela hai usey meri zarurat ho gi,



Ay "KHUDA" us ko kisi Or ka honey na dena,

Zindagi bhar mujhy phir khud say shikayat ho gi:-









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


7





Us Ada Se Bhi Hoon Aashna, Tujhe Itna Jis Pe Gharoor Hai

Main Jiyon Ga Tere Baghair Bhi, Mujhe Zindagi Ka Shaoor Hai



Na Hawas Mujh Mein Janaab Ki, Na Talab Saba-O-Shabab Ki

Tere Chashm-E-Naaz Ki Khair Ho, Mujhe Bin Piye Hi Saroor Hai



Jo Samajh Loon Tujhe Bewafa, Tou Es Mein Teri Hai Kia Khata

Ye Khalal Hai Mere Dimagh Ka, Ye Meri Nazar Ka Qasoor Hai



Main Nikal K Tere Naam Se, Na Giroon Ga Apne Maqaam Se

Main Qateel-E-Ishq-E-Sitam Sahi, Mujhe Tum Se Ishq Zaroor Hai









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


8





Tujhe Naaz Hai Main Haseen Hoon, Mere Gulistan Ko Zawal Kiya

Mujhe Fakhar Hai K Main Ishq Hoon, Jo Jala Na Doon Tou Kamal Kiya



Mujhe Zindagi Ki Dua Na De, Mujhe Zindagi Ki Talab Nahi

Meri Mout Ko Jo Taal De, Is Zindagi Ki Majaal Kiya



Humein Manziloon Ki Khabar Nahi, Humein Raah Guzer Ki Talash hai

Is Tarah Guzer Pe Nikal Pare Tou Urooj Kiya Zawal kiya



Tere Pyaar Mein Shikwe Gilay, Teri In Adaaon Pe Mar Chale

Jo Hayat Thi Tujhe Waar Di, Tou Jawab Kiya Or Sawal Kiya









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


9





*Parveen Shakir*



Hoon Tou Khafa Us Se, Par Jaane Phir Bhi Kyun

Na Chaah kar Bhi Us Ko Chaahna Acha Lagta Hai



Haqeeqat Se Hoon Door, Ye Mujh Ko Hai Pata

Par Jaan K Anjaan Rehna Acha Lagta Hai



Qaayil Nahi Main Rony Ki Phir Bhi Kabhi Kabhi

Tanhai Mein Kuch Dair Rona Acha Lagta Hai



Wo Mera Tha, Wo Mera Hai, Wo Mera Rahay Ga

Kuch Pal Is Khuwab Mein Khona Acha Lagta Hai









color="#6a98a5">Submitted By Muneer


10





[Koi Kiya Janey]



Mosam-E-Hijr K Lamhaat "Koi Kiya Janey"

Kiya Guzerti Hai Mere Saath "Koi Kiya Janey"



Dooriyon Mein Bhi Tere Saath Marasim Hain Wahi

Roz Hoti Hai Mulaqaat "Koi Kiya Janey"



Log Hansti Hoi Aankhon Pe Yaqeen Rakhte Hein

Mere Aansoo, Mere Jazbaat "Koi Kiya Janey"



Aik Tu Hai Jisey Maloom Hein Saari Baaten

Shab-E-Hijran Mere Halaat "Koi Kiya Janey"



Koi Kiya Janey K Khamoshiyan Kiya Kehti Hein

Teri Aankhon K Sawalaat "Koi Kiya Janey"









color="#6a98a5">Submitted By Muneer









<<First      

<Previous      

41  
42  
43  
44  
45  
46  
47  
48  
49  
50      

Next>  




No comments:

Post a Comment