Saqia Aik Jaam Peenay Say Jannatein Larkhara K Milti Hein
Lala O Gul Kalaam Kartay Hein, Rehmatein Muskura K Milti Hein
Mein Talkhi E Hayyat Say Ghabra K Pee Gaya

Ghum Ki Siyaah Raat Say Ghabra K Pee Gaya
Mein Talkhi E Hayyat Say Ghabra K Pee Gaya
Gham Ki Siyaah Raat Say Ghabra K Pee Gaya

Chalkay Hoay Thay Jaam, Pareeshan Thi Zulf-E-Yaar
Kuch Aisay Haadsaat Say Ghabra K Pee Gaya
Gham Ki Siyaah Raat Say Ghabra K Pee Gaya
Mein Talkhi E Hayyat Say Ghabra K Pee Gaya
Mein Aadmi Hoon Koi Farishta Nahi Huzoor
Mein Aaj Apni Zaat Say Ghabra K Pee Gaya
Gham Ki Siyaah Raat Say Ghabra K Pee Gaya
Mein Talkhi E Hayyat Say Ghabra K Pee Gaya
Itni Daqeeq Shai Koi Kaisay Samajh Sakay
Yazdaan K Waqiyaat Say Ghabra K Pee Gaya
Gham Ki Siyaah Raat Say Ghabra K Pee Gaya
Mein Talkhi E Hayyat Say Ghabra K Pee Gaya
Kaantay To Khair Kaantay Hein In Say Gila He Kia
Pholon Ki Waardat Say Ghabra K Pee Gaya
Gham Ki Siyaah Raat Say Ghabra K Pee Gaya
Mein Talkhi E Hayyat Say Ghabra K Pee Gaya
Sagar Woh Keh Rahay Hein K Pee Lejiyeh Huzoor
Un Ki Guzarshaad Say Ghabra K Pee Gaya
Gham Ki Siyaah Raat Say Ghabra K Pee Gaya
Mein Talkhi E Hayyat Say Ghabra K Pee Gaya...
No comments:
Post a Comment