Ae Kash Tujhe Aisa Ik Zakhm-e-Judai Doon
jab tees koi chamke mein tujh ko dikhayi doon
haan mein ne tujhe chaaha inkaar nahi mujh ko
yeh jurm ko sabit hai, kya is ki safaii doon?
Ae Kash Tujhe Aisa Ik Zakhm-e-Judai Doon
jis rooz kabhi tera deedar na ho paaye
mein apni he aankhon ko nabeena dikhai doon
Ae Kash Tujhe Aisa Ik Zakhm-e-Judai Doon
maghroor hai tu kitna sirf aik sanam bun ker
tu chaahe to mein tujh ko tun mun ki khudai doon
Ae Kash Tujhe Aisa Ik Zakhm-e-Judai Doon
tujh sa koi dil wala mehsoos karay mujh ko
mein geet nahi aisa jo sub ko sunayi doon
Ae Kash Tujhe Aisa Ik Zakhm-e-Judai Doon
ik umar ke baad apne chit-chor ko pakra hai
mein kaise tujhe apni baahon se rihayi doon?
Ae Kash Tujhe Aisa Ik Zakhm-e-Judai Doon
Ae Kash Tujhe Aisa Ik Zakhm-e-Judai Doon
jab tees koi chamke mein tujh ko dikhayi doon
No comments:
Post a Comment