aaino mei yeh jitne chehre hein
aaino mei yeh jitne chehre hein
aks tere hein, aks mere hein
aks tere hein, aks mere hein
aaino mei yeh jitne chehre hein
aaino mei yeh jitne chehre hein
itne pathar agar baham ho jaa'ein, rafat-e koh-e-aasman lagay
itne zarray hoon jama kaheen, wosat-e-dasht benishaan lagay
itne taray agar chamaktay hoon, zarf-e-khurshid becharagh lagay
itne gunchay agar mehekte hoon, mosam-e-zard besuragh lagay
neel se taaba-kash gh'er dekho aik he roshni ke ghere hein
aaino mei yeh jitne chehre hein
aks tere hein, aks mere hein
aks tere hein, aks mere hein
aaino mei yeh jitne chehre hein
aaino mei yeh jitne chehre hein
sub musafir hein aik raste ke, aik manzil pe sub ko jana hai
apni apni hadon mein rehte hoay, ik naya daira banana hai
roshni jo hira se photi thi, us mei rehna hai jagmagana hai
majd se uthne wali khushbo ka, phir se ub muntazir zamana hai
tara tara bikharte jain gay jitne sa'ay hein jo andehre hein
aaino mei yeh jitne chehre hein
aks tere hein, aks mere hein
aks tere hein, aks mere hein
aaino mei yeh jitne chehre hein
aaino mei yeh jitne chehre hein
No comments:
Post a Comment