Monday, 27 July 2015

Collection of 10 New Poems By Dr Kumar Vishwash 2015.

http://lovesms-in-hindi.blogspot.com/2015/07/LatestKumarVIshwash2015.html
All Kumar Vishwas Poems/Shayari Collection ~
Jaha Par Khtam Hoti Thi Meri Khawaish Ki Jid Kal Tak,
Usi Ek Mod Tak Khud Ke Safar Ko Mood Rakha Hai,
Kitab-E-Jindagi Yu Padh Rahi Hai Aaj Kal Duniya,
Tumhare Naam Ko Ab Bhi Wark Chod Rakha Hai�
Dr. Kumar Vishwas Poems
Falak Pe Bhor Ke Dulhan Yu Saj Ke Aayi Hai,
Ye Din Ugha Hai Ya Suraj Ke Ghar Sagayi Hai,
Abhi Bhi Aate Hai Aansu Meri Kahani Mein,
Kalam Mein Shukar-E-Ada Ki Roshanayi Hai.
Dr. Kumar Vishwas Poems
Hame Malum Hai Do Dil Judai Seh Nahi Sakte,
Magar Rasme Wafa Ye Hai Ki Ye Bhi Keh Nahi Sakte,
Jara Kuch Dair Tum Unn Sahilo Ki Chik Sun Bhar Lo,
Jo Lehro Mein To Dube Hai Magar Sang Beh Nahi Sakte.
Dr. Kumar Vishwas Poems
Ye Dil Barbaad Karke Su Mein Kyun Abaad Rehte Ho,
Koi Kal Keh Raha Tha Tum Allahabad Rehte Ho�
Ye Kaisi Shohratein Mujhko Ata Kar Di Mere Maula,
Main Sabh Kuch Bhool Jaata Hoon Magar Tum Yaad Rehte Ho�
Dr. Kumar Vishwas Poems
Panahon Mein Jo Aaya Ho To Us Par Vaar Kya Karna,
Jo Dil Hara Hua Ho Us Pe Fir Adhikaar Kya Karna�
Mohabbat Ka Maza To Doobne Ki Kashmakash Mein Hai,
Jo Ho Maloom Gehrayi To Dariya Paar Kya Karna�
Dr. Kumar Vishwas Poems
Hamare Sher Sun Kar Bhi Jo Khamosh Itna Hai,
Khuda Jaane Guroor-e-Husn Mein Madhosh Kitna Hai�
Kisi Pyale Se Poocha Hai Suraahi Main Sabab Mein Ka,
Jo Khud Behosh Ho Wo Kya Bataye Ke Hosh Kitna Hai�..
Dr. Kumar Vishwas Poems
Wo Jiska Teer Chupke Se Jigar Ke Paar Hota Hai,
Wo Koi Gair Kya Apna Hi Rishtedaar Hota Hai�
Kise Se Apne Dil Ki Baat Tu Kehna Na Bhoole Se,
Yahan Khat Bhi Thodi Der Se Akhbaar Hota Hai�.
Dr. Kumar Vishwas Poems
Jab Aata Hai Jeevan Mein Halaaton Ka Hungama,
Jazbaton, Mulakaton, Haseen Baaton Ka Hungama�
Jawani Ke Qayamat Daur Mein Ye Soch Te Hain Sabh,
Ye Hungame Ki Raatein Hain Ya Raaton Ka Hungama��
Dr. Kumar Vishwas Poems
Na Paane Ki Khushi Hai Kuch Na Khone Ka Hi Kuch Gam Hai�.
Ye Daulat Aur Shohrat Sirf Kuch Zakhmo Ka Marham Hai�
Ajab Si Kashmakash Hai Roz Jeene, Roz Marne Me�.
Mukkammal Zindagi To Hai Magar Poori Se Kuch Kam Hai�.
Dr. Kumar Vishwas Poems
Koi Khamosh Hai Itna, Bahane Bhool Aaya Hoon�
Kisi Ki Ik Taranum Mein Taraane Bhool Aaya Hoon�.
Meri Ab Raah Mat Takna Kabhi e Aasmaan Walo�.
Main Ik Chidiya Ki Aankhon Mein Udaane Bhool Aaya Hoon�.
Dr. Kumar Vishwas Poems

No comments:

Post a Comment