Tuesday, 14 April 2015

New Poems By Dr. Kumar Vishwash 2015


1. Koi Khamosh Hai Itna, Bahane Bhool Aaya Hoon
Kisi Ki Ik Taranum Mein Taraane Bhool Aaya Hoon
Meri Ab Raah Mat Takna Kabhi e Aasmaan Walo
Main Ik Chidiya Ki Aankhon Mein Udaane Bhool Aaya Hoon

2. Jab Aata Hai Jeevan Mein Halaaton Ka Hungama
Jazbaton, Mulakaton, Haseen Baaton Ka Hungama
Jawani Ke Qayamat Daur Mein Ye Soch Te Hain Sabh
Ye Hungame Ki Raatein Hain Ya Raaton Ka Hungama.

3. Na Paane Ki Khushi Hai Kuch
Na Khone Ka Hi Kuch Gam Hai
Ye Daulat Aur Shohrat Sirf
Kuch Zakhmo Ka Marham Hai
Ajab Si Kashmakash Hai
Roz Jeene,Roz Marne Me
Mukkammal Zindagi To Hai
Magar Poori Se Kuch Kam Hai.

4. Wo Jiska Teer Chupke Se Jigar Ke Paar Hota Hai
Wo Koi Gair Kya Apna Hi Rishtedaar Hota Hai
Kise Se Apne Dil Ki Baat Tu Kehna Na Bhoole Se
Yahan Khat Bhi Thodi Der Se Akhbaar Hota

No comments:

Post a Comment