Tuesday, 19 February 2013

Ae ishq na cherde Aa Aa ke humien

ae ishq na cherde Aa Aa ke humien
hum bhoole howoon ko yaad na ker
pehlay hi bohut nashad hain hum
to aur humien naashad na ker
qismat ka sitam hi kum nahien kuch
yeah taza sitam ijad na ker
yooN zulim na ker bedad na ker
ae ishq humien barbad na ker
jis din se mile hain donon ka
sab chain gaya aaram gaya
chehroon se bahaar-e-subah gaye
Ankhoon se faroG-e-shaam gaya
haathoon se Khushi kaa jaam choota
hontoon se haNsi ka naam gaya
Gamgeen na bana naashad na ker
ae ishq humien barbad na ker
Raatoon ko uTh uTh rote hain
ro ro ker Duien kerte hain
Ankhoon main Tasawur dil main Khalish
sir dhunte hain ahien bharte hain
ae ishq yeah kaisa rog laga
jeetay hain na zaalim marte hain
yeah zulim to ae jallad na ker
ae ishq humien barbad na ker
yeah rog laga hai jab se humien
ranjida hoon main bimaar hai wo
her waqt tapish her waqt Khalish
be-Khawab hooN main bedar hai wo
jeenay se idhar bezar hooN main
marnay pe udhar tayar hai wo
aur zabat kahay fariyad na ker
ae ishq humien barbad na ker
bedard zara insaf to ker
is umar main aur maghmoom hai wo
phehloon ki tarah nazuk hai abhi
taaroon ki tarah masoom hai wo
yeah husan sitam yeah ranj Ghazab
majaboor hooN main mazaloom hai wo
mazaloom pe yooN bedaad na ker
ai ishq humien barbad na ker
ae ishq Khudara dekh kahien
wo shoKh haseen badnaam na ho
wo maah-e-laqa badnaam na ho
wo zohra jabeen badnaam na ho
naamoos ka us ko paas rahe
wo pardaa-nasheen badnaam na ho
us parda nasheen ko yaad na ker
ae ishq humien barbaad na ker
ummeed ki jhooty jannat ke
rah rah ke na dikhala Khawaab humien
Aienda ke farzi ishrat ke
waade se na kar betaab humien
kahata hai zamana jis ko Khushi
ati hai nazar kaamayaab humien
chorde aisi Khushii ko yaad na ker
ae ishq humien barbaad na ker
do din hee main ahad-e-tifali ke
masoom zamanay bhool gaye
Ankhoon se wo Khushiyan miTt si gaien
lab ke wo taranay bhool gaye
un paak bahishtii Khawaboon ke
dilchasp fasaane bhool gaye
un Khawaaboon se yooN aazad na ker
ae ishq humien barbaad na ker
Ankhoon ko yeah kiya azaar huwa
her jazb-e-nihaaN per ro dena
ahang-e-tarab pe jhuk jaana
awaz-e-fuGaaN per ro dena
barbat ki sada per ro dena
mutrib ke bayaaN per ro dena
ehasas ko Ghum bunyaad na ker
ae ishq humien barbaad na ker
ji chahata hai ik duusaray ko
yooN aaTh pahar hum kerien
Ankhoon main basayien Khawaboon ko
aur dil ko Khayaal abaad karien
Khilawat main bhi jo jalawat ka saamaaN
wahadat ko duwa se shaad karien
yeah arazooien ijaad na ker
ae ishq humien barbaad na ker
wo raaz hai yeah Ghum aah jise
paa jaaye koye to Khair nahien
Ankhoon se jab Ansoo bahate hain
aa jaaye koye to Khair nahien
zaalim hai yeah duniya dil ko
yahaaN bhaa jaaye koye Khair nahiin
hai zulim magar fariyaad na ker
ae ishq humien barbaad na ker
duniya ka tamaasha dekh liya
Ghamgeen si hai betaab si hai
ummeed yahaaN ik waham si hai
taskeen yahaaN ik Khawaab si hai
duniya main Khushi ka naam nahien
duniya main Khushi nayaab si hai
duniya main Khushi ko yaad na ker
ae ishq humien barbaad na ker

No comments:

Post a Comment