Monday, 10 January 2011

Mohabbat ki nahi jati ho jati hai aksar

Mohabbat bewafa hargiz nahi hoti
Mohabbat karne wale
lakh andeshon mein ghir jain
mohabbat kar ke pachtain
to in ke apne kehne se
mohabbat bewafa hargiz nahi hoti
mohabbat sirf aik tarze ibadat hai
mohabbat khud khuda hargiz nahi hoti
mohabbat aik diya hai
jo faseele dil pe roshan hai
mohabbat noor ki pehchan ka
pehla hawala hai
mohabbat se ujala hai
mohabbat ki nahi jati
ye ho jati hai aksar
aur ho jai to
tarpati hai
tarpati bhi aesi hai
ragon mein khoon chalta hai na rukta hai
sarapa ajnabi zakhmon se dukhta hai
mohabbat rog ban jati hai
rog aesa
ke koi kaam karne ko jee nahi chahta
hadd ye ke marrne ko jee nahi chahta
leikin
mohabbat bewafa hargiz nahi hoti

By: Natiq Jaffari

Kash Main Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota

kash main tere haseen hath ka kangan hota
tu baray piyar se chao say bare maan ke sath

apni nazuk si kalayee main charhati mujh ko
aur betabi se furqat kay khizan lamhon main

tu kisi soch mein doobi jo ghumati mujh ko
main tere hath ki khushboo se mehak sa jata

jab kabhi mood mein aakar mujhay chooma karti
tere honton ki main hiddat se dehek sa jata

raat ko jab bhi tu neendon kay safar par jati
marmarin hath ka ik takiya banaya karti
main tere kaan se lag kar kayi batein karta
teri zulfon ko tere gaal ko chooma karta

jab bhi tu band qaba kholne lagti jaanan
apni aankhon ko tere husn se kheza karta

mujh ko betaab sa rakhta teri chahat ka nasha
main teri rooh ke gulshan mein mehekta rehta

main tere jism ke aangan mein khanakta rehta
kuch nahi tu yehi benam sa bandhan hota

kash main tere hanseen hath ka kangan hota

By: Wasi Shah

Agar talaash karoon koi mil he jai ga

Agar talaash karoon koi mil he jai ga
Maggar tumhari tarah kon mujh ko chahe ga

Tumhein zaroor koi chahton se dekhe ga
Maggar wo aankhein hamari kahan se laye ga

Tumhare sath ye mosam farishton jesa hai
Tumhare bad ye mosam bohat sataye ga

By: Bashir Badar

Mujhey Sandal kar Do

Apne ehsaas se choo kar mujhay sandal kar do
Main ke sadiyon se adhoora hoon mukammal kar do

na tumhein hosh rahe na mujhey hosh rahay
is qadar toot ke chaho, mujhey pagal kar do

Tum hateeli ko meray pyar ki mehndi say rango
apni ankhooon main mere naam ka kajal kar do

is ke Saye mein mere Khwab dehek uthein gey
Mere chehre pe chamakta huwa aanchal kar do

Dhoop he dhoop hoon main toot ke berso mujh par
is qadar barso meri rooh mein jalthal kar do

Apnay honton se koi mohar lagao mujh par
aik nazar pyar say dekho mujhey ghayal kar do

jese sehraon mein har sham hawa chalti hai
is tarha mujh mein chalo aur mujhey thal kar do

tum chupa lo mera dil ot mein apne dil ki
aur mujhey meri nigahon se bhi ojhal kar do

Masla hoon to nigahein na churao mujh se
Apni chahat se tawajha se mujhay hal kar do

apne gham se kaho har waqt mere sath rahe
aik ehsaan karo isko musalsal kar do

mujh pe chaa jao kisi aag ki surat janaan
aur meri zaat ko sookha hua jangal kar do

By: Wasi Shah

Suna hai log usay aankh bhar ke dekhtay hain

Suna hai log usay aankh bhar ke dekhtay hain
So us ke sheher main kuch din theher ke dekhte hain

Suna hai rabt hai us ko kharab halon se
So apnae aap ko barbad kar ke dekhte hain

Suna hai dard ki gahak hain chashm-e- naz us ki
So hum bhi us ki gali se guzar ka dekhte hain

Suna hai us ko bhi hai sher-o- shayari se shaghuf
So hum bhi mojaze apne hunar ke dekhte hain

Suna hai bole to baton se phool jharate hain
Ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain

Suna hai raat usey chand takta rehta hai
Sitare baam-e- falak se utar ke dekhte hain

Suna hai hashr hain us ki gazal si aankhain
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain

Suna hai din ko usey titliyan satati hain
Suna hai raat ko jugno theher ke dekhte hain

Suna hai rat se barh kar hain kakulan us ki
Suna hai sham ko saye guzar ke dekhte hain

siyah chashm to dekhey hain par na aese bhi
So us ko surma farosh aah bhar ke dekhte hain

Suna hai us ke labon se gulab jalate hain
So hum bahar par ilzaam dhar ke dekhte hain

Suna hai aaina tamasaal hai jabin us ki
Jo saada dil hai usey ban sanvar ke dekhte hain

Suna hai jab se hamail hain us ki gardan main
Mizaj aur he lal-o- gauhar ke dekhte hain

Suna hai chashm-e- tassawar se dasht-e- imkan main
Palang zawaiye us ki kamar ke dekhtay hain

Suna hai us ke badan ke tarash aise hain
Ke phool apani qabayain qatar ke dekhtay hain

Woh sarvqad hai magar begul-e- muraad nahin
Ke us shajar pe shagufay samar ke dekhte hain

Bas ik nigah se loota hai qafila dil ka
So raherwaan-e-tamanna bhi dar ke dekhte hain

Suna hai us ki shabistan se mutasil hai bahisht
Makin udhar ke bhi jalwe idhar ke dekhte hain

Rukey tu gardishein us ka tawaaf karti hain
Chaley to us ko zamaney theher ke dekhte hain

Kisay naseeb ke be perahan usey dekhay
Kabhi kabhi dar-o- deewar ghar ke dekhte hain

Khaniyan hi sahi sab mubaalghey hi sahi
Agar woh khwab hai tabeer kar ke dekhte hain

Ab us ke sheher mein theherein ki kooch kar jayein
�Faraz� aao sitare safar ke dekhte hain

By: Ahmed Faraz

Sunday, 9 January 2011

Chehre Pe Mere Zulf ko Phelao Kisi Din


Chehre pe mere zulf ko phelao kisi din
kia roz garajate ho baras jao kisi din

razon ki tarah utro mere dil mein kisi shab
dastak pe mere hath ki khul jao kisi din

peron ki tarah husn ki barish mein naha loon
badal ki tarah jhoom ke ghir aao kisi din

Khushboo ki tarah guzro mere dil ki gali se
phulon ki tarah mujh pe bikhar jao kisi din

phir hath ko khairaat mile band-e-qaba ki
phir lutf-e-shab-e-vasl ko dohrao kisi din

guzarein jo mere ghar se to ruk jayen sitare
is tarah meri raat ko chamkao kisi din

main apni har ik sans isi rat ko de dun
sar rakh k mere seene pe so jao kisi din

By: Amjad Islam Amjad

Saja Ke Aankhon Mein Khwab Rakhna

Saja Ke Aankhon Mein Khwab Rakhna
wafa ke rishte gulab rakhna

faseel e shab mein chiragh ban kar
ye zindagi mahtaab rakhna

yun ishq ka imtehan dena ke dil ke badly mein jan dena
jo chand chun-ne ki aarzu ho to justuju lajwab rakhna

hazaar batein banaye dunya hazaar dil ko dukhaye dunya
bhula ke sari aziyaton ko utha ke kaante gulab rakhna

kabhi zamane se chhup chhupa k sakoot- e- shab me diye bujha ke
hatheliyon ko dua ki shamma to aankh apni chanab rakhna

adawtein bhi Khuda ki khatir mohabten bhi Khuda ki khatir,
adawten bas gini chuni hon mohabbatein be hisaab rakhna